ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam - English karam ki bhik dar-e-mustafa se mangte hein ham apni haajatein, haajat-rawa se mangte hein unhein khabar hai ke ham log, mushkilon se nijaat waseela unko bana kar khuda se mangte hein ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam tujhko bheja gaya hai karam ke liye sarwar-e-ambiya! taajdar-e-haram! tujhko bheja gaya hai karam ke liye ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam tujhko bheja gaya hai karam ke liye rashq-e-firdos ban jaae duniya meri ek lutf-e-nazar mujh pe bhi ya nabi paas aae khushi door ho jaae gham tujhko bheja gaya hai karam ke liye ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam tujhko bheja gaya hai karam ke liye wajh-e-rahmat teri zaat purnoor hai saari makhluq mein baat mash'hoor hai kya falak kya zameen, kya arab kya ajab tujhko bheja gaya hai karam ke liye ya nabi mujh pe bhi ek nigaah-e-karam tujhko bheja gaya hai karam ke liye do jahaanon ka maalik banaya tujhe har tarha se nawaza h...