haqeeqat mein wo lutfe zindagi paaya nahin karte haqeeqat mein wo lutfe zindagi paaya nahin karte jo yaade mustafa se dil ko behlaaya nahin karte zabaan par shikwa-e-ranjo alam laaya nahin karte nabi ke naam lewa gham se ghabraaya nahin karte are oh nasamaj! qurbaan ho ja unke roze par ye lamhe zindagi mein baar baar aaya nahin karte ye darbaare muhammad hai yahaan apno ka kya kehna yahaan se haath khaali gair bhi jaaya nahin karte ye hai darbaar aaqa ka yahaan milta hai be maange are nadaan yahaan daaman ko failaaya nahin karte muhammad mustafa ke baagh ke sab phool aise hain jo bin paani ke tar rehte hain murjhaaya nahin karte jo unke daamane rehmat se wabasta hai ae hameed kisi ke saamne daaman ko failaaya nahin karte हक़ीक़त में वो लुत्फ़-ए-ज़िंदगी पाया नहीं करते हक़ीक़त में वो लुत्फ़-ए-ज़िंदगी पाया नहीं करते जो याद-ए-मुस्तफ़ा से दिल को बहलाया नहीं करते ...