Posts
Showing posts with the label hamd lyrics
- Get link
- X
- Other Apps
hasbi rabbi jallalallah Naat-Khwan: Hafiz Ahmed Raza Qadri hasbi rabbi jallalallah mafi qalbi gairullah noore muhammad salalallah la ilaha illallah wahido yakta zaat hai jo, jo hai khalike rango boo parbat sehra ya gulshan, jalwe jiske hain har soo raat ko din jo karta hai, rang kaliyon mein bharta hai usne hi sab ko paala, allah allah karta jaa hasbi rabbi jallalallah mafi qalbi gairullah noore muhammad salalallah la ilaha illallah phoolon ki mehkar mein wo, jangal mein kohsar mein wo suraj chaand sitaron mein, momin ke kirdar mein wo hooro malak ya jinno bashar, sab par hai malik ki nazar har dam uska zikr suna, allah allah karta jaa hasbi rabbi jallalallah mafi qalbi gairullah noore muhammad salalallah la ilaha illallah you are the source of all power, my need in my darkest hour your light and love all i seek, nothing more i'd ever want or need protect me from dishonor, grant me faith to be stronger ...
- Get link
- X
- Other Apps
tere karam ki ilahi kuchh intiha hi nahin tere karam ki ilahi kuchh intiha hi nahin na ab apna tere siwa koi aasara hi nahin na ho jo jazb ki taseer to sada hi nahin dua jo dil se na nikle to phir dua hi nahin juka jo dar pe tere pa gaya sukun-e-hayat hata jo dar se sukun phir use mila hi nahin karun main jurrat-e-shikwa majal kya meri tere karam se to mehroom main raha hi nahin tere karam ki ilahi kuchh intiha hi nahin na ab apna tere siwa koi aasara hi nahin तेरे करम की इलाही कुछ इंतिहा ही नहीं तेरे करम की इलाही कुछ इंतिहा ही नहीं न अब अपना तेरे सिवा कोई आसरा ही नहीं न हो जो जज़्ब की तासीर तो सदा ही नहीं दुआ जो दिल से न निकले तो फिर दुआ ही नहीं झुका जो दर पे तेरे पा गया सुकून-ए-हयात हटा जो दर से सुकून फिर उसे मिला ही नहीं करूं मैं जुर्रत-ए-शिकवा मजाल क्या मेरी तेरे करम से तो महरूम मैं रहा ही नहीं तेरे करम की इलाही कुछ इंतिहा ही नहीं न अब अपना तेरे सिवा कोई आसरा ही नहीं تیرے کرم کی الٰہی کچھ انتہا ہی نہیں تیرے ...
- Get link
- X
- Other Apps
kaaba dikhade maula! Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allahu allah allahu allahallahu allah allahu allah kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah har aankh chahti hai kaaba dikhade maula! hasrat pukarti hai kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah koh-e-safa se dodun marwa ki chotiyon tak khwahish machal rahi hai kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah aheram phir pahen kar tauf-e-haram karun main meri dua yahi hai kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah minaar unche unche dikhla de tu haram ke pasti mein zindagi hai kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah yaad-e-haram mein aan...
- Get link
- X
- Other Apps
ya rab hai bakhsh dena bandon ko kaam tera allah allah allah allah allah allah allah allah allah allah ya rab hai bakhsh dena bandon ko kaam tera la taqnattu suna hai hamne kalam tera allah allah allah allah allah hai tuhi dene waala pasti se de bulandi asfal maqam mera aala maqam tera allah allah allah allah allah mehroom kyu rahun main jee bhar ke kyu na lun main deta hai rizq sab ko hai faiz aam tera allah allah allah allah allah imaan ki kahenge imaan hai hamara ahmad rasool tera mushaf kalam tera allah allah allah allah allah jab tak hai dil bhawan main har dam ho yaad teri jab tak zabaan hai munh mein jaari ho naam tera allah allah allah allah allah shams-ud-duha muhammad badr-ud-duja muhammad hai noor-e-paak roshan har sub’h-o-shaam tera allah allah allah allah allah ye daag bhi na hoga tere siwa kisi ka kaunain mein hai jo kuchh wo hai tamaam tera allah allah allah allah allah या रब ह...
- Get link
- X
- Other Apps
allah ne bulaya hai allah ke ghar mein hun allah ne bulaya hai allah ke ghar mein hun kaabe ka nazara hai allah ke ghar mein hun darbar ye kesa hai peshani se pahele dil sajde mein jukaya hai allah ke ghar mein hun allah ne bulaya hai allah ke ghar mein hun kaabe ka nazara hai allah ke ghar mein hun wo rukne yumani ho ya rukne iraqi ho har kaune ko chuma hai allah ke ghar mein hun allah ne bulaya hai allah ke ghar mein hun kaabe ka nazara hai allah ke ghar mein hun ye wakt hai izzat ka mizab hai rahemat ka sar par yahi saya hai allah ke ghar mein hun allah ne bulaya hai allah ke ghar mein hun kaabe ka nazara hai allah ke ghar mein hun sajde mein ujagar hai aur samane kaaba hai maula ne nawaza hai allah ke ghar mein hun allah ne bulaya hai allah ke ghar mein hun kaabe ka nazara hai allah ke ghar mein hun अल्लाह ने बुलाया है अल्लाह के घर में हूँ अल्लाह ने बुलाया है अल्लाह के घर में हूँ काबे का नज़ारा...
- Get link
- X
- Other Apps
allahu ki boli hai lailaha illalallah lailaha illalallah lailaha illalallah lailaha illalallah hasbi rabbi jallalallah mafi qalbi ghairullah noore muhammad sallalallah lailaha illalallah lailaha illalallah chidiyon ki sab chankaron mein allahu ki boli hai gulshan mein gulzaron mein allahu ki boli hai lailaha illalallah lailaha illalallah lailaha illalallah lailaha illalallah mimbar par mehrabon par tera naam hi roshan hai masjid ke meenaron mein allahu ki boli hai lailaha illalallah lailaha illalallah lailaha illalallah lailaha illalallah allahu-akbar ki hai sada rann mein mujahid ke lab par mo'min ke sab naaron mein allahu ki boli hai lailaha illalallah lailaha illalallah lailaha illalallah lailaha illalallah qadari ho ya nakshbandi aur bhi jitne salasil hon sab waliyon ke mazaron ...
- Get link
- X
- Other Apps
apne sajdon pe yaqeen de humko ya allah! ya allah! ya allah! ya allah! ya allah! ya allah! ya allah! ya allah! teri rahmat se bane kaam mere ho gayi har mushkil aasaan maine maana ke gunaahgar hun main par tu to hai bada maherbaan ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! allah! allah! apne sajdon pe yaqeen de humko apne rahmat si zameen de humko karde kuchh aisa karam ke bada jaaein phir hum hum tere ho ke rahein tere raste pe chalein ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! allah! allah! teri rahmat ke talab-gaar hein hum ye baja hai ke gunah-gaar hein hum haan gunah-gaar hein hum haan siyaah-kaar hein hum tu hai rahmaan-o-raheem tu hai gaffar-o-kareem ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! ya rahmaan! ya allah! allah! allah! baat ban ban ke bigad jaati hai sa...
- Get link
- X
- Other Apps
saari duniya ko chalaata hai KHuda wo KHuda hai KHuda badshaah wo KHuda saari duniya ko chalaata hai KHuda raat se phir din ko laata hai KHuda jaanwar, insaan uska khaate hein aur parindo.n ko khilaata hai KHuda saari duniya ko chalaata hai KHuda raat se phir din ko laata hai KHuda musa ka lashkar pareshaani mei.n tha raasta uska banaata hai KHuda saari duniya ko chalaata hai KHuda raat se phir din ko laata hai KHuda wo KHuda hai KHuda badshaah wo KHuda misr ke baazaar mei.n yusuf bika takht par usko bithaata hai KHuda saari duniya ko chalaata hai KHuda raat se phir din ko laata hai KHuda zalzale, sailaab aur ye baarishei.n apni taaqat bhi dikhaata hai KHuda saari duniya ko chalaata hai KHuda raat se phir din ko laata hai KHuda hai wohi ne'amat siddiqui baadshaah sabka maula, sabka daata hai KHuda saari duniya ko chalaata hai KHuda raat se phir din ko laata hai KHuda wo KHuda hai KHuda badshaah wo KHuda
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Hamde Saraan hein, Sumbulo Raihaan, Anjumo Maaho Mehre Taabaan Shm-e-Sabistaan, Subhe Darakhshaan, Jinno, Malaaik, Insaan, Haywaan Allah Allah , Subhaan-Allah , Subhaan-Allah , Subhaan-Allah Sehne Gulistaan ki Har aali, Patta Patta Daali Daali Qumri O Bulbul, Gunchi, Maali, Sabke Labon par Zikre Jamaali Allah Allah , Subhaan-Allah , Subhaan-Allah , Subhaan-Allah Aandhi, Baarish, Bijli, Baadal, Dariya, Sehra, Gulshan, Jangal Phool, Kali, Phal, Kuncha, Konpal, Nagmaan Saraa hai Hardam har pal Allah Allah , Subhaan-Allah , Subhaan-Allah , Subhaan-Allah Hamdo Sana Fakhro ZulSaani, Haaziro Gaayib Baaqi O Faani Qaulo Amal Alfaazo Ma-aani, Aag Hawa aur Mitti O Paani Allah Allah , Subhaan-Allah Subhaan-Allah Subhaan-Allah Nagmaa Sara aur mast Gazal-khaan, Tauraat Injeel Aur Ye Quraan Hooro Gilmaan Maaliko Rizwaan, Har Dil Shaadaan, Har Lab Khandaan Allah Allah , Subhaan-Allah Subhaan-Allah Subhaan-Allah Shubli Raazi, Haafizo Jaami, Hindi O Turqi, Misri O Sh...
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...
Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर
apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun ya KHuda ! aabru rakh meri tu, teri hamd-o-sana kar raha hun tu jo chahe to ban jaye qismat, mere sajdo.n ki kya hai haqiqat teri chokhat pe sar ko jhuka kar, farz apna ada kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun maine duniya ka dekha nazaara, al-madad keh ke maine pukaara mujhko apni panaho.n mein rakhna, bas yahi iltija kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun aaj mahfil mein baithe hein jitne, sab ke dil ki tamanna ho puri sab ko haji bana de tu maula! main tadap kar dua kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne mahboob ka dar dikha de, mera soya muqaddar jaga de lutf-e-duniya ko le aaj se mein, apne dil se jhuda kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha ...
Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ
sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri itna kaafi hai zindagi ke liye rakh le.n sarkar jo naukari ke liye sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke kisi shobe mein nakaam nahi hu.n sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n mere nijaat ka yahi raasta dikhai de allah mujko makka madina dikhai de roza-e-mustafa hai jaha.n par aye momino.n aashiq wahi.n pe jeeta aur marta dikhai de sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke hukmarano.n se darta nahi.n kabhi dollar se ya riyal se bikta nahi.n kabhi jis zehn me.n samaya hai faqat dast-e-karbala momin wo sar kataata hai jukta nahi.n kabhi sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n aaqa ka faisala wahi qudrat ka faisala mehshar mein hoga unki shafa'at ka fai...
Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...







.png)

