nahin hai koi duniya mein hamara ya rasulallah ! nahin hai koi duniya mein hamaara ya rasulallah ! hamein to aap hi ka hai         sahaara ya rasulallah !      nahin hai koi duniya mein hamaara ya rasulallah !      hun sar se paaon tak dooba hua gham ke samandar mein nahin aata nazar koi         kinaara ya rasulallah !      nahin hai koi duniya mein hamaara ya rasulallah !      talaatum-khaiz hai dariya, bhanwar mein hai meri kashti nazar aata nahin koi         kinaara ya rasulallah !      nahi.n hai koi duniya mei.n hamaara ya rasulallah !      tadapta hai ye dil mera, tarasti hein meri aankhein bulaalo ab madine mein         dubaara ya rasulallah !      nahin hai koi duniya mein hamaara ya rasulallah !      tadapta hai mera dil aur tarasti hein meri aankhein bulaalo ab madine mein         dubaara ya rasulallah !      nahin hai koi duniya mein hamaara ya rasulallah !      khuda jab tumse farmaaye, ke laao apni ummat ko humaari taraf bhi kar dena ishaara         ya rasulallah !   ...