Ummati hun Mein Mustafa ka Lyrics || Attiq Ur Rehman

Mere Pyare Nabi , Mere Pyare Nabi

Hai Naaz Mujko hai Khush-nasibi, ke Ummati hun Mein Mustafa ka
Ghulamo Dayee Jahan mein Unka, Bana Mein Fazlo Karam Khuda ka

Tere Zamane mein Kash Uthta, To Zindagi Meri Phuul hoti
Mein Sath Chalta to Mera Surma, Wo Tere Qadmon ki Dhul hoti

Ke Tere Hamrah Jango Hijrat, mein Aazmaeesh Qubul hoti
Teri Mahobbat mein Sar katata, Mein Paas rakhta teri wafa ka





Hai Naaz Mujko hai Khush-nasibi, ke Ummati hun Mein Mustafa ka
Ghulamo Dayee Jahan mein Unka, Bana Mein Fazlo Karam Khuda ka

Mere Pyare Aaqa ! Mere Pyare Aaqa !

Imaam Tu Muqtadee mein hota, Na girne deta Wazoo ke Qatre
Zameene Taeef pe dhal ban kar, Mein Modta sare Sango Khatre

Wo Ahle Suffa Wo Badr wale, Jidhar se Imaan wale Guzre
Surroro Taskeeno Itminaan Ik , Ke Lutf pata Mein Us Fiza ka

Hai Naaz Mujko hai Khush-nasibi, ke Ummati hun Mein Mustafa ka
Ghulamo Dayee Jahan mein Unka, Bana Mein Fazlo Karam Khuda ka

Mere Pyare Nabi , Mere Pyare Nabi

Umooro Ahekam Faisale aur, Mein dekhta Adal ka Tarazoo
Wo Sada Mimbar pe Honth hilte, Wo thame Talwaro Dasto Baazu

Lipat ke Tujse Mein Puchh deta, Bahe Jo Ummat ke Gham mein Aansu
Lahu Jigar ka Mein Pesh karta, Jo hukm aata Tere Difa ka

Hai Naaz Mujko hai Khush-nasibi, ke Ummati hun Mein Mustafa ka
Ghulamo Dayee Jahan mein Unka, Bana Mein Fazlo Karam Khuda ka

Mere Pyare Aaqa ! Mere Pyare Aaqa !

Nazar Uthate to dekhta Mein, Sahaba ke Kafile Piyada
Libas Sasta Makan Khasta, Kiyam lamba Ta'aam Saada

Sahar ta Shab karta Teri Khidmat, Tuje Muyassar Mein Aata Ziyada
Likhi yun Qismat mein Maut hoti, Ke Bosa leta Mein Dasto Paa ka

Hai Naaz Mujko hai Khush-nasibi, ke Ummati hun Mein Mustafa ka
Ghulamo Dayee Jahan mein Unka, Bana Mein Fazlo Karam Khuda ka

Mere Pyare Nabi , Mere Pyare Nabi

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu