Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein Lyrics || Owais Raza Qadri


Hamsafiro Baag mein hai Koi Dam ka Chehchaha
Bulbulein udh jayengi Suna Chaman reh jayega

Jahan mein hein Ibrat ke Har Soo Namune
Magar Tujko Andha kiya Rango Boo ne

Kabhi Gaur se bhi Ye dekha hai Tune
Jo Aabad the Wo Mahel Ab hein Soone

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Mile Khak mein Ahle Shaan Kaise Kaise
Makeen ho gaye La-Makan Kaise Kaise

Huye Naamwar Be-Nishan Kaise Kaise
Jameen kha gayi No-Jawan Kaise Kaise





Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Ajal ne Na Kisra hi chhoda na Dara
Isi se Sikander sa Fateh bhi Haara

Har Ek leke Kya Kya na Hasrat sidhara
Padha reh gaya sab Yunhi Thaath Saara

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Budhape se Paa kar Payame Kaza bhi
Na Chonka Na Cheta Na Sambhla Zara bhi

Koi Teri Gaflat ki hai Inteha bhi
Junun kab talak Hosh mein Apne aa bhi

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Tujhe Pahele Bachpan mein Barson khilaya
Jawani ne Fir Tujko Majnu banaya

Budhape ne Fir aa ke Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar degi Bilkul Safaya

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Yehi Tujko Dhun hai rahun Sab se Baala
Ho Zeenat Nirali ho Faishan nirala

Jiya Karta hai Kya Yunhi Marne Wala
Tujhe Husne Zahir ne Dhoke mein dala

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Wo hai Aisho Ishrat ka Koi Mahel bhi
Jahan Taak mein Har Gadi ho Ajal bhi

Bas Ab Apne Is Chahel se Tu nikal bhi
Ye Tarze Maeeshat Ab Apna badal bhi

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Ye Duniya-e-Fani hai Mehboob Tujko
Hui haaye Kya Cheez Marhoob Tujko

Kiya haaye Shaitan ne Maghloob Tujko
Samaj lena Ab Chahiye Khoob Tujko

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Na Dil Daada-e-Shaire goee rahega
Na Garwida-e-Shohra Joee rahega

Na Koi raha hai na koi rahega
Rahega to Zikre Nigohi rahega

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai

Jan Is Bazm se Uth gaye Dost Aksar
Aur Uthte chale ja rahe hein barabar

Ye Har Waqt Peshe Nazar Jab hai Manzar
Yahan par Tera Jee Bahelta hai Kyunkar

Jagah Jee lagane ki Duniya nahin hein
Ye Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahin hai


 




Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Meri Maa Pyari Maa Lyrics || Shahana Shaikh || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ