Ho Mubarak aa gaya hai Hajj ka Mosam Momino Lyrics


Ho Mubarak aa gaya hai Hajj ka Mosam Momino
Khub Mango Ab Dua Ba-Chashme Purnam Momino

Aa gaya hai Aa gaya hai Hajj ka Mosam aa gaya
Aa gaya hai Aa gaya hai Hajj ka Mosam aa gaya

Janibe Makka huye hein Kafile Chalna shuru
Hijr ke Din bhi abhi ye ho gaye dhalna shuru
Sail-e-Ashk Ab jald hi ye jayega tham Momino

Ho Mubarak aa gaya hai .....

Gunjti hai Har Taraf hi bas sada Labbayk ki
Kis Kadar hai Rooh-Parvar ye sada Labbayk ki
Bhul hi jata hai Haji Apna har gham Momino

Ho Mubarak aa gaya hai .....

Ek Din Aayega Ham bhi Shehre Dilbar dekhenge
Jeete Jee Apni Nigahon se Wo Manzar dekhenge
Samne Roze ka Jalwa, Aankhein Aur Ham Momino

Ho Mubarak aa gaya hai .....



Hajj hua Makbul Jiska Khuld hai Uska Sila
Dhul gaye yun Daage Isyan Goya ab paida hua
Mustafa ka Aesa hai Farmane Aazam Momino

Ho Mubarak aa gaya hai .....




Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Mere Muhammad Pyaare Bane hein Dulha || मेरे मुहम्मद प्यारे बने हैं दूल्हा || Qasida-e-Meraaj || Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Sare La-Makaan se Talab hui Lyrics | Balaghal Ula bi Kamalihi Lyrics / सर-ए-ला-मकाँ से तलब हुई

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Hum ne Aankhon se dekha nahin hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا