Hum ne Aankhon se dekha nahin hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर

lab pe salle ala ke taraane
ashk aankhon mein aaye hue hain
ye hawa ye faza keh rahi hai
aap tashreef laaye hue hain
jinki khaatir ye aalam banaya
laamakaan jin ko rab ne bulaaya
aye halima ye tera muqaddar
wo tere ghar mein aaye hue hain
main madine ki galiyon pe qurbaan
jin se guzre hain shahe madina
is tarah se mehak rahe hain raaste
itr jaise lagaye hue hain
aaj poori hui dil ki hasrat
kyun na jee bhar ke kar lun ziyaarat
qabr mein apna jalwa dikhaane
mere sarkar aaye hue hain
hai hasan mehwe jamaal-e-ru-e-dost
aye nakirain is se phir lena jawab
qabr mein apna jalwa dikhaane
mere sarkar aaye hue hain
naam nabiyon ke beshak bade hain
azmaton ke nageene jade hain
muqtadi banke pichhe khade hain
wo jo pehle se aaye hue hain
ye hawa ye faza keh rahi hai
aap tashreef laaye hue hain
لب پہ صل علی کے ترانے
اشک آنکھوں میں آئے ہوئے ہیں
یہ ہوا یہ فضا کہہ رہی ہے
آپ تشریف لائے ہوئے ہیں
جن کی خاطر یہ عالم بنایا
لامکاں جن کو رب نے بلایا
اے حلیمہ یہ تیرا مقدر
وہ تیرے گھر میں آئے ہوئے ہیں
میں مدینے کی گلیوں پہ قربان
جن سے گزرے ہیں شاہِ مدینہ
اس طرح سے مہک رہے ہیں راستے
عطر جیسے لگائے ہوئے ہیں
آج پوری ہوئی دل کی حسرت
کیوں نہ جی بھر کے کرلوں زیارت
قبر میں اپنا جلوہ دکھانے
میرے سرکار آئے ہوئے ہیں
ہے حسن محوِ جمالِ روئے دوست
اے نکیرین اس سے پھر لینا جواب
قبر میں اپنا جلوہ دکھانے
میرے سرکار آئے ہوئے ہیں
نام نبیوں کے بے شک بڑے ہیں
عظمتوں کے نگینے جڑے ہیں
مقتدی بن کے پیچھے کھڑے ہیں
وہ جو پہلے سے آئے ہوئے ہیں
یہ ہوا یہ فضا کہہ رہی ہے
آپ تشریف لائے ہوئے ہیں
Subhanallah
ReplyDelete