Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha Lyrics
Jashn ka Manzar tha Mahol Suhana tha
Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha
Farsh pe Nagme the Aaqa ki Risalat ke
Arsh pe charche the Sarkar ki Azmat ke
Hooron ke Lab par Khushiyon ka tarana tha
Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha
Roop badal jaye Ye Raat sawar jaye
Hukm Khuda ka hua ke Waqt thaher jaye
Ruk gaya Foran jo Gardish mein zamana tha
Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha
Masjide Aqsa mein kya Manzar the Pyare
Bich Kataron mein Hazir the Nabi Sare
Aage Musalle par Sultane Zamana tha
Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha
Arsh saja Sarkar ke liye Arsh saja Sarkar ke liye
Manzil-e-Sidra par Jibreel ne arz kiya
Shahe Do Aalam Mein aage nahin chal sakta
Meri had ye hi thi Yehi Mera thikana tha
Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha
Ek wasila hai Rabb se mulakaton ka
Aap ko Haq ne diya tohfa jo Namazon ka
Asal mein Ummat ki bakhshish ka bahana tha
Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha
Noor mein Farooki duba ye Jahan hoga
Waqt wo kya hoga kaisa wo saman hoga
Masnade Arsh pe Jab Hasanain ka Nana tha
Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha
Very beautiful nice naat
ReplyDelete