Tajdar e haram Ho Nigah e karam By owais raza qadri
Kismat mein meri chain say jeena likh De
Dube na kabhi mera safeena likh De
Jannat to Thikana hai magar Duniya mein
Aye Katib-e-Taqdeer Madina Likh De
Tajdar e haram Ho Nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jaye ge
Hamiy e baikasan, kya kahe ga jaha
Aap kay dar say khali agar jaye ge
Tajdare Haram Tajdare Haram
Chashm e rehmat ba kusha
Sue manandaze nazar
Ae Qureshi Lakabi
Hashamiyo Muttalabi
Tajdare Haram Tajdare Haram
Sue manandaze nazar
Ae Qureshi Lakabi
Hashamiyo Muttalabi
Tajdare Haram Tajdare Haram
Ka Tumse Kahu ae Rab ke kamar
Tum janat ho man ki batiyaan
Dar furkat toh ae ummi laqab
Kate na katat hai ab ratiyan
Tori preet mein sudh budh sab pisri
Kab tak ye rahegi be khabri
Gaahe ba figan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo hamri batiyan
Koi apna nahi gham ke maare hain ham
Aapke dar pe fariyad laye hain ham
Ho nigahe karam warna chokhat pe ham
Aapka naam le le ke mar jayenge ham
Tajdar e haram, Ho Nigah e karam
Maikashon aao aao madine chalen
Chashm e saki e kausar se peene chalen
Yad rakho agar uth gayi ek nazar
Jitne khali hein sab jaam bhar jayenge
Tajdar e haram, Ho Nigah e karam
Khauf e tufaan hai bijliyon ka hai dar
Sakht mushkil hai aqa kidhra jayen ham
Aap hi ghar na lenge hamari khabar
Ham musibat ke maare kidhar jayenge
Tajdar e haram, Ho Nigah e karam
Comments
Post a Comment