Yaha bapa ka sikka chalta hai Lyrics


Mai Hu attari muje attariyon me rakh khuda
Murshidi attar peer e ba safa ke vaste

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Attar se nisbat hai mujko is naam ka sadka milta hai
Ik mai kya sara zamana hi bapa se mahobbat karta hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai


Kis kadar shadab dekho gulshan e attar hai
Hai karam allah ka aur rehmat e sarkar hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Ban gaye lakhon muballig aap ke zere asar
Gung thi jiski zabaan vo shola e guftar hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Attar se nisbat hai mujko is naam ka sadka milta hai
Ik mai kya sara zamana hi bapa se mahobbat karta hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Aap ki takreer mai tehreer mai taseer hai
Aap ki ulfat mai yaron sara hi sansar hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Sabz sar pe hai imama zulfen kali kali hai
Pairgan mai sadgi hai ba saba kirdar hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Mushkilon ke jangalon me fir rahe ho kyu udas
Al madad attar kehdo fir to beda paar hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Bara madani kafilon ka jo musafir ban gaya
Bil yakeen attariyon attar ka vo yaar hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Dawat e islami ki maula jaha mai dhoom ho
Is dua ka noor dekho bar labe attar hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai

Chilchilati dhoop gam ki kya bigadegi tera
Ae Ujagar sar pe tere saya e attar hai

Yaha bapa ka sikka chalta hai




Naat Khvan : Hafiz Tahir Qadry
Naat Author : Nisar Ali Ujagar


Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu