Us Rabb e Do alam ki ata sab ke liye hai


Us Rabb e Do alam ki ata sab ke liye hai
Ye Chand ye suraj ye ziya sab ke liye hai

Mehdood nahi hai ye kisi ek bashar tak
Ye ful ye khushbu ye fiza sab ke liye hai

Us Rabb e Do alam ki ata sab ke liye hai

Vo kaun hai jutlaye jo is shan e karam ko
Allah ki rahmat ki gata sab ke liye hai

Us Rabb e Do alam ki ata sab ke liye hai

Jo zarre ko khurshid bana deti hai pal mai
Us ki vo muhabbat ki ada sab ke liye hai

Us Rabb e Do alam ki ata sab ke liye hai

Jo ful khila deti hai pathrili zamee mai
Savan ki vi purkaif hava sab ke liye  hai

Us Rabb e Do alam ki ata sab ke liye hai



Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Kaba Dikha de Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Taiba ke Jane wale ja kar bade adab se Lyrics / तैबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से / طیبہ کے جانے والے جا کر بڑے ادب سے

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Are Hajiyo Tum Haram ja rahe ho Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics