Sar hai kham haath mera utha hai

Sar hai kham haath mera utha hai
Ya khuda tuj se meri dua hai
Fazl ki rehm ki ilteja hai
Ya khuda tuj se meri dua hai

Kalb mai yaad lab par sana hai
Mere har dard ki ye dava hai
Kaun dukhiyon ka tere siva hai
Ya khuda tuj se meri dua hai

Qalb sakhti mai had se bada hai
Banda taalib tere khauf ka hai
Iltija e game Mustafa hai
Ya khuda tuj se meri dua hai

Hubbe duniya mai dil fans gaya hai
Nafs e badkar havi hua hai
Haae Shaitaa bhi pichhe pada hai
Ya khuda tuj se meri dua hai

Har gunah se bacha muj ko maula 
Nek khaslat bana mujko maula
Tuj ko Ramzan ka vasta hai
Ya khuda tuj se meri dua hai

Hu bazahir bada nek surat
Kar bhi de mujko ab nek sirat
Zahir achha hai batin bura hai
Ya khuda tuj se meri dua hai

Vasita tuj ko pyare nabi ka
Aur ashab o aale nabi ka
Bakhsh de mujko ye iltija hai
Ya khuda tuj se meri dua hai

Ya Ilahi ! kar esi inayat
De de imaan par istikamat
Tujse ATTAR ki iltija hai
Ya khuda tuj se meri dua hai






Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu