Allah hame karde Ata Kufle Madina

Allah Hame Karde Ata Kufle Madina
Har Ek Musalma Le Laga Kufle Madina

Ya Rabb ! Na zarurat ke siva kuchh kabhi bolu
Allah zabaa ka ho ata kufle Madina

Bak bak ki ye adat sare na hashr fansa de
Allah zabaa ka ho ata kufle Madina

Har lafz ka kis tarha hisab Aah ! mai dunga
Allah zabaa ka ho ata kufle Madina

Aksar Mere hontho pe rahe zikr e Muhammad
Allah zabaa ka ho ata kufle Madina

Badta Hai khamoshi se vakkar ae Mere Bhai
Ae Bhai ! Zaba par tu laga kufle Madina

Hai dabdaba khamoshi mai haibat bhi hai penhaa
Ae Bhai ! Zaba par tu laga kufle Madina

Rakh lete the patthar sun abu bakr dahan mai
Ae Bhai ! Zaba par tu laga kufle Madina

Chup rehne mai so sukh hai tu ye tajurba karle
Ae Bhai ! Zaba par tu laga kufle Madina

Aqa ki haya se juki rehti thi nigahen
Ankhon pe mere bhai laga kufle Madina

Ghar dekhega filme to kayamat mai fanse ga
Ankhon pe mere bhai laga kufle Madina

Ankhon mai sare hashr na bhar jaae kahi aag
Ankhon pe mere bhai laga kufle Madina

Bolu na fuzul aur rahe nichi nigahen
Ankhon ka zabaa ka de khuda kufle Madina

Aae na muje vasvase aur gande khayalat
De zehan ka aur dil ka khuda kufle Madina

Raftar ka guftar ka kirdar ka de de
Har uzv ka de mujko khuda kufle madina

Dozakh ki kaha taab hai kamzor badan mai
Har uzv ka ATTAR laga kufle Madina




Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu