Sachchi Baat Sikhate Ye Hai



Sachchi Baat Sikhate ye Hai
Sidhi Rah Chalate Ye Hai

Halti Naav jamate ye hai
Tuti Aas bandhate ye hai

Jalti jaan bujate ye hai
Roti ankh Hansate ye hai

Rabb Hai Mau'ti Ye hai kasim
Rizk uska hai khilate ye hai

Uski Bakhshish inka sadka
Deta vo hai Dilate ye hai

Inna Aa'tayna Kal Kausar
Sari Kasrat paate ye hai

Thanda Thanda Mitha Mitha
Pite Ham hai pilate ye hai

Naz'a-e-Rooh mai asani de
Kalma yaad dilate ye hai

Markad mai bandon ko Thapak ke
Mithi nind sulate ye hai

Maa jab ek lote ko chhode
Aa Aa Kehke bulate ye hai

Sallim Sallim ki dharas se
Pul se Paar Chalate ye hai

Apne karam se ham halko ka
Palla Bhari  banate ye hai

Apni bani ham aap bigade 
Kaun banaye banate ye hai

Faiz-e-Jaleel Khalil se puchho 
Aag mai baag lagate ye hai

Inke haath mai har kunji hai
Maalik-e-Kul kehlate ye hai

Kasr-e-Dana tak kis ki rasaai
Jaate ye hai aate ye hai

Kehdo RAZA se khush ho khush reh
Muzda riza ka sunate ye hai


Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Kaaba Dikhade Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला