Mustafa Khairul Vara Ho




Mustafa khairul Vara Ho 
Sarvar-e-Har Do Sara Ho
Apne Achho Ka tasadduk
Ham Badon ko nibha ho

Kis ke fir ho kar Rahe Ham
Ghar Tumhi ham ko na chaho

Bad Hansein Tum Unki khatir
Raat Bhar ro ro kara ho

Bad karein ham dam buraai
Tum kaho Sabka bhala ho

Ham Vahi na shita Ru hai
Tum vahi behr-e-Ata ho

Ham vahi Shayan-e-Rad hai
Tum vahi shan-e-Sakha ho

Ham vahi be sharm bad hai
Tum vahi kaan-e-haya ho

Ham vahi nang-e-jafa hai
Tum vahi jaan-e-Vafa ho

Ham vahi kaabil-e-saza hai
Tum vahi rehm-e-khuda ho

Charkh badle dehr badle
Tum badal ne se vara ho

Umr bhar to yaad rakha
Vakt par kya bhulna ho

Ye bhi Maula arz kardun
Bhul agar jaao to kya ho

Vo ho jo Tum par giraan hai
Vo ho jo hargiz na chaho

Vo ho jiska naam lete
Dushmanon ka dil bura ho

Vo ho jiske radd ki khatir 
Raat din vakf-e-Dua ho

Mar mitein barbaad bande
Khana abad aag ka ho

Shaad ho iblis-e-maloon
Gham kise is kahar ka ho

Tum ko Ho vallah Tumko
Jaan o Dil tum par fida ho

Tum ko gham se Hak bachae
Gham adoo ko jaa gaza ho

Tum ko gham se kya Ta'alluk
Be kason ke gham zuda ho

Hak Durdein tumpe bheje
Tum madam usko sara ho

Kyu RAZA mushkil se dariye
Jab nabi mushkil kusha ho




Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو