Utha Do Parda Dikha Do Chehra
Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noor-e-Baari Hijaab Mai Hai
Zamana Tareek Ho Raha Hai Ke Mehr Kab Se Nikaab Mai Hai
Unhi ki Maaya-e-Saman Hai , Unhi Ka Jalva Chaman Chaman Hai
Unhi Se Gulshan Mehaka Rahe Hai , Unhi Ki Rangat Gulab Mai Hai
Vo Ghul hai Lab Haae Naazuk Un ke Hazaro Jadte Hai Fool Jin se
Ghulab Gulshan Mai Dekhe BulBul , Ye Dekh Gulshan Dhulab Mai Hai
Khade Hai Munkar Nakeer Sar Par , Na Koi Haami Na Koi Yaavar !
Batado Aakar Mere Payambar Ke Sakht Mushkil Javab Mai Hai
Khuda-e-Kahhar Hai Gajab Par , Khule Hai Badkariyo Ke Daftar
Bachalo Aakar Shafee-e-Mehshar , Tumhara Banda Azab Mai Hai
Kareem Esa Mila Ke Jis Ke Khule Hai Haath Aur Bhare Khazane
Batao Ae Mufleeso ! Ke Fir Kyu Tumhara Dil Iztirab Mai Hai
Kareem Apne Karam Ka Sadka , Apne Laeem-e-Be Kadr Ko Na Sharma
Tu aur RAZA Se Hisab Lena RAZA Bhi Koi Hisaab Mai Hai ?
Comments
Post a Comment