zabaan se kya main kahun, aap se chhupa kya hai zabaan se kya main kahun, aap se chhupa kya hai wo jante hen mere dil ka majra kya hai nabi ke ishq ki lazzat bilaal se puchho bilaal jante hen ishq-e-mustafa kya hai wo jante hen mere dil ka majra kya hai zabaan se kya main kahun kaha khuda ne sar-e-hashr bakhsh di ummat mere habeeb bata aur chahta kya hai wo jante hen mere dil ka majra kya hai zabaan se kya main kahun gale men dekha jo patta teri gulaami ka kaha nakeeron ne ab is se puchhna kya hai wo jante hen mere dil ka majra kya hai zabaan se kya main kahun mere huzur ko khud jaisa bolne waale tum unki zaat ke baare men janta kya hai wo jante hen mere dil ka majra kya hai zabaan se kya main kahun wo kya bataega quraan ke rumuuz bhala jise pata hi nahin shan-e-mustafa kya hai wo jante hen mere dil ka majra kya hai zabaan se kya...