hai itni shadeed ab to tamanna-e-madina Roman(ENG): hai itni shadeed ab to tamanna-e-madina har saans se aati hai sada haaye madina jaagu.n to isi dhun mei.n rahu.n raat gaye tak so jaau.n to khwaabo.n mei.n nazar aaye madina mat aur kisi shahar ki roodaad sunaao shaida-e-madina hu.n mai.n shaida -e-madina makka tu bhi afzal hai magar itna bataade har shahar se badh kar mujhe kyu.n bhaaye madina ho jaae ata rakht-e-safar izn-e-safar bhi ho jaae karam mujh-pe ab aaqa-e-madina khwaahish hai ke ab jaake na lautu.n mai.n wahaa.n se naazish mujhe taqdeer jo dikhlaae madina है इतनी शदीद अब तो तमन्ना-इ-मदीना हिंदी (HINDI): है इतनी शदीद अब तो तमन्ना-इ-मदीना हर सांस से आती है सदा हाए मदीना जागूँ तो इसी धुन में रहूं रात गए तक सो जाऊं तो ख़्वाबों नज़र आये मदीना मत और किसी शहर की रूदाद सुनाओ शैदा-इ-मदीना हूँ में शैदा-इ-मदीना मक्का तू भी अफ़ज़ल है मगर इतना बता दे हर शहर से बड़ कर मुझे क्यों भाए मदीना हो जाए अता रखते सफर इज़्ने सफर भी हो जाए करम मुझपे अब आक़ा-इ-मदीना ख्वाहिश है के अब जाक...