सुकून पाया है बेकसी ने Roman Urdu • हिंदी • اردو Roman Urdu हिंदी اردو Roman Urdu Roman Script Sukoon paya hai bekasi ne, hudood-e-gham se nikal gaya hun Khayal-e-hazrat jab aa gaya hai, to girte girte sambhal gaya hun Kabhi main subh-e-azal gaya hun, kabhi main sham-e-abad gaya hun Talaash-e-jaana mein kitni manzil, khuda hi jaane nikal gaya hun Mere janaze pe rone waalon! fareb mein ho bagaur dekho Mara nahin hun gham-e-nabi mein, libaas-e-hasti badal gaya hun Haram ki tapti hui zameen par, jigar bichhane ki aarzu mein Bahar-e-khuld-e-baree mili to, bacha ke daaman nikal gaya hun Ba-faiz-e-hassan ibn-e-saabit, barang-e-naat-e-rasool-e-akram Qabr mein saher-o-sukhan ki leh mein, adab ke moti ugal gaya hun ↑ Back to top ...