Kullu Man Alaiha Faan Roman हिंदी اردو Roman Urdu rab ne kar diya ailaan, kullu man alaiha faan baaqi hoga bas rahmaan, kullu man alaiha faan jhooti jhooti duniya mein, jhooti rishtedaari hai toote-phoote waade hein, kacchi kacchi yaari hai dhoka har qadam, har aan, kullu man alaiya faan rab ne kar diya ailaan, kullu man alaiha faan baaqi hoga bas rahmaan, kullu man alaiha faan rooh-o-jism ko ek din, chhod kar yun jaayegi tum jahaan raho lekin, maut lene aayegi kya fakeer kya sultaan, kullu man alaiya faan rab ne kar diya ailaan, kullu man alaiha faan baaqi hoga bas rahmaan, kullu man alaiha faan jab khuda ki marzi se, soor phunka jaayega rab ke ma-siwa hargiz koi bach na paayega ho farishta ya insaan, kullu man alaiya faan ...