Are Hajiyon Tum Haram Ja Rahe Ho Roman हिंदी اردو Roman Urdu are hajiyon tum haram ja rahe ho basad aheteram ek payam arz karna mazaar-e-muqaddas pe jab haazari ho mera bhi nabi se salaam arz karna ye kehna ke ek ummati be-sahaara hai bechain wo darde furqat ka maara ye kehna madine se wo door reh kar fire darbadar sub-ho shaam arz karna are hajiyon tum haram ja rahe ho basad aheteram ek payam arz karna tadapta hai dil aur barasti hain aankhein baraa-e-ziyarat tarasti hain aankhein ye kehna basarat se mehrum hai wo meri haalate gham tamam arz karna mazaare muqaddas pe jab haazari ho mera bhi nabi se salaam arz karna ye kehna gunahgaro badkaar hai wo khataaon pe lekin sharamsaar hai wo...