pukaaro shaah-e-jilaan ko pukaaro pukaaro shaah-e-jilaan ko pukaaro sanwar jaeingi taqdeerein badal jaaegi qismat, be-sahaaron ! pukaro har gadi, ya ghaus-e-aa'zam milega chain dil ko, be-sahaaron ! mureedi la-takhaf hai unka farmaan na gabraao zara bhi, gham ke maron ! tumhaari reet hai nahrein tiraana meri nayya bhi meeraan paar utaaro ye zarre koochaa-e-baghdaad ke hein karo sajde yahaan par chaand-taaron karo tum naam-e-meeraan ka wazifa dayaar-e-zindagi hai be-sahaaron ! ye dar mahboob-e-sub'hani ka dar hai bhikhari ban ke aao, taajdaaron ! rahe har dam khayaal-e-ghaus-e-aa'zam guzaaro zindagi bas yun guzaaro pukaaro shaah-e-jilaan ko pukaaro sanwar jaeingi taqdeerein badal jaaegi qismat, be-sahaaron !