Hai Hamd Teri har ek lab par Lyrics / है हम्द तेरी हर एक लब पर / ہے حمد تیری ہر اک لب پر
hai hamd teri har ek lab par Naat-Khwaan: Hafiz Abdur Razzaq hai hamd teri har ek lab par allahu akbar, allahu akbar hai zaat teri sabse munawwar hai wasf tera sabse bulandtar sabka hai maula sabse hai bartar allahu akbar, allahu akbar hai hamd teri har ek lab par allahu akbar, allahu akbar aye 'arsh wale! aye farsh wale! jalwe hai.n tere sabse nirale 'aalam mein roshan tujhse ujaale allahu akbar, allahu akbar hai hamd teri har ek lab par allahu akbar, allahu akbar jis ko diya hai tune diya hai jis se liya hai tune liya hai qabze mein tere akhz-o-'ata hai allahu akbar, allahu akbar hai hamd teri har ek lab par allahu akbar, allahu akbar tera hi charcha har char-soo hai har shai mein teri hi rang-o-bu hai dekha jidhar mein waha.n tu hi tu hai allahu akbar, allahu akbar hai hamd teri har ek lab par alla...