Tere Tukdon pe pale ..... Sharah
Back To Full Naat
Tere Tukdon pe pale ghair ki thokar pe na daal
Jidkiyan khaein kaha chhod ke sadqa Tera
Mushkil Alfaz :
Tukdon pe palna : Kisi ki ataon pe aise karna
Ghair : Begana
Thokar : Paaon se marna , Murad hai zillat wa ruswaee ,
Na daal : Suprad na kar , Dusron ka mohtaj na kar ,
Jidkiyan : Daant , dapat aur malamat
Sadqa : Khairat wa bakhshish .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Ham to Aap ke tukdon pe palne wale hein , Hamein apne kadmon se hata kar , dusron ke darwazon par thokarein khane ki zillat se bacha lei(n) . Apne datrbar se hata kar gairon ki dant dapat ke hawale na kijiye .
Is sher se Qurane Mukaddas ki mut'addad Aayat Aur be-shumar Ahadise mubaraka ki taraf ishara kiya gaya hai , jis mein Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) apne gulamon ko nawazna aur unki jholiyan bharna mazkur hai , Aur Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ka dar chhod ne walon ki zillat wa ruswaee bayan ki gayi hai , Masalan
Al Quran :
Allah Aur uske Rasool ne unhe apne fazal se ghani kar diya .
Wo jo is dar se fira Allah us se fir gaya
Wo jo is dar ka hua Allah us ka ho gaya
Comments
Post a Comment