Muft Paala tha kabhi ..... Sharah
Back To Full Naat
Muft Paala tha kabhi kaam ki aadat na padhi
Ab Amal puchhte hein , haae nikamma Tera
Mushkil Alfaz :
Muft : Bila kimat (Farsi)
Haae : Afsos ka kalma
Nikamma : Bekar
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Aapne bagair amal ke Allah ki ne'amatein ata farmaeen , jis se mujhe muft khane ki aadat pad-gayee , Aur ab marne ke baad firishte mujh nakara se Aa'male Saleha ka taqaza kar rahe hein , haae mein kya karun ?
Yani mere palle to siwaye Aap(Sallalallahu Alayhi Wasallam) ki rehmat ki ummid ke kuchh bhi nahin , aur apni bekar zindagi pa afsos hai , ab aap hi akhirat mein mujh nakara ki madad farmaein , take aakhirat ki zindagi Aap ki shafa'at ki barkat se ruswaee se bach jaaye .
Quran Majeed mein jahan ye farmaya gaya ke "Koi kisi ki shafa'at nahin karega" wahan koi se murad but hein , aur kisi se murad kafir hein , ke but kafiron ki shafa'at nahin kar sakenge , kyunki kafir bhi jahannam ka indhan hein , aur inke ma'budane batila but bhi . Warna ahle imaan jitne bhi gunahgar honge Allah ke mehbub ki shafa'at ke sath aakhir kaar jannat mein jaayenge . Balke Ulama , huffaz , shohdah , Saliheen , Quran aur Ramzan bhi shafa'at karenge .
Comments
Post a Comment