Back To Full Naat
Mein To Malik hi kahunga ke ho Malik ke Habeeb
Yani Mehboobo Muhib mein nahin Mera Tera
Mafhoom wa Tashreeh :
Ye sher fasahat wa balagat ki jaan hai , aur Hazrat Imam Ahmad Raza (AR) ki qadirul kalami par ba tarika-e-itam daal hai . ke isme Quran Majeed wala aslub apnaya gaya hai , wo is tarha ke ek dawa par daleel layi gayi , Fir is daleel ko dawa bana kar aage is dawe ki daleel laee gayi . Jis Tarha
Al-Hamdulillah dawa hai aur Rabbul-aalamin uski daleel hai . Fir ye pura jumla dawa hai aur is se agla jumla daleel hai . Isi tarha "Mein to maleek hi kahunga" dawa hai aur "Maleek ke habib" is ki daleel hai , fir ye pura misra dawa aur dusra misra is ki daleel .
Irshade Bari Ta'ala : Tarjuma : sura Aale Imran Aayat 26
Ae Habeeb (S.A.W) ! Aap yun arz kiya karein Ae Allah ! Tu hi Mulkon ka Malik hai . Jisko Tu chahe Apna Mulk ata farma de .
Jab Huzur (S.A.W) ne Fat'he Makka ya ke Apni ummat ko Mulke Faris wa Sham milne ka dawa kiya to Munafik aur Yahud ne is ko bada ajeeb jana , Allah Ta'la ne is moke par ye aayat nazil farmaee .
(Khazainul Irfan)
Aur fir Hazrat Umar Farooq (rd) ke dor mein Huzur (AS) ke gulamon ki in mulkon par hukumat hui . Aur Taurayt mein jo Allah Ta'ala ne jo gaib ki khabar di thi wo puri huee . Aur wo ye thi ke mere habeeb ki hukumat sham mein bhi hogi .
Aap (S.A.W) ne farmaya : Muje Surkh wa Safed(sari duniya) ka Malik bana diya gaya .
Aur Ek makam par farmaya : Mujhe har she'a yani har ne'amat ke khazane ki kunjiyan di gayeen .
Na Sirf Sari duniya ka balke Farmaya : Qayamat ke din bhi sari izzatein sari chabiyan aur Hamd ka janda mere hi hath mein hoga .
"Habiballah" ka ba-barkat jumla khud Huzur (AS) ne khud apne liye irshad farmaya : Beshak mein Allah ka Habeeb hun .
Huzur (AS) Aur Allah ke liye Aashiq aur Ma'shuq ka lafz nahin bolna chahiye .
Allah Ta'ala har she'a ka Malik-e-Haqeeqi hai aur hamare Aaqa Allah ke Mehboob ho kar har she'a ke Malike majazi thehre . Kyunke Mehboob o Muhib mein nahin mere tera .
سبحان اللہ ما اجملک مااحسنک مااکملک کیتھے مہرِ علی کیتھے تیری ثناء مشتاق آکھیں کیتھے جا آڈھیاں۔ کیا بات ہے میرے اعلحضرت کی❤️💞
ReplyDelete