Dil Abas Khauf se ..... Sharah



Back To Full Naat

Dil Abas Khauf se Patta sa uda jaata hai
Palla halka sahi bhari hai bharosa Tera


Mushkil Alfaz :

Abas : Be-Fayda ,bekar
Kauf : Aane wale halat ki pareshani ,
Patta : Darakhta ka patta ,
Sa  : (Harfe Tashbiyyah) Misl , Tarha .
Uda Jaana : Pareshan wa paraganda hona ,
Palla : Tarazu ka ek palda ,
Bharosa : Aasra .

Mafhoom wa Tashreeh : 

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Agarche Mera dil qayamat ke din Aamal tole jaane ke khauf se patte ki tarha ud raha hai (Pareshan ho raha hai) , Magar iska is qadar darna fuzul hai , Kyunki Agarche Mere Aamal ka palla halka hi sahi magar Aapki shafa'at ka aasra to halka nahin hai .

Allah Ta'ala Farmata hai : Surae Duha , Aayat 5
Aap ka Rabb Aap ko itna nawazega ke Aap Razi ho jaenge .

Sarkar (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ka Farmana hai ;
Mein us wakt tak razi na hunga jab tak Mera ek ummati bhi jahannam mein hoga .

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu