Bahre Saeel ka hun ..... Sharah



Back To Full Naat

Bahre Saeel ka hun Saeel na kunwe ka pyasa
Khud bujha jaaye kaleja mera chhinta Tera

Mushkil Alfaz :

Bahar : Dariya wa Samundar
Saeel (First) : Seelan se hai ba'mana behne wala , jari wa sari . Murad Aaqa kareem (S.A.W).
Saeel (Second) : suwal se hai ba'mana Mangta . Murad Gulame Mustafa Imam Ahmad Raza (AR) .
Kaleja : Dil aur Jigar .
Bujana : Tasalli dena , Sairab karna , aur hajat puri karna .
Chhinta : Chullu bhar pani ya chand katrat .

Mafhoom wa Tashreeh :

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi WaSallam) ! Mein apni pyas bujhan kisi samundar ya dariya ke pas kyun jaaun , kya aapki rehmat ke dariya ka chhinta meri pyas bujhane ke liye kafi nahin .

Huzur(Sallalallahu Alayhi WaSallam) ki rehmat ka takaza 

Jab Huzur (Sallalallahu Alayhi WaSallam) Rehmatullil Aalamin hein aur rehmat musdad ba ma'ana isme faeel (karnewala) rahim hai , yani Reham farmane wala . To zinda honge to reham farmaeinge . Ba-ikhtiyar honge to reham farmaeinge . Ek Ek ummati ke halat se ba-khabar honge (ke kis ko meri rehmat ki zarurat hai ) to reham farmaeinge aur har ek ke paas aa sakte honge to reham farmaeinge .
Aur jab Rehmatullil Aalamin hona  nass kataee (Qurano Hadees se sabit) hai to hazir nazir hona , Gaib ka jan'na (Allah ki ata se) , ba-ikhtiyar ya mukhtare kull hona , Aur hayatunnabi (Sallalallahu Alayhi WaSallam)  ye tamam akaeed khud ba khud sabit honge . Jis ka inkar pahele logon mese kisi ko bhi na tha , is daur mein naam-nihad tauhid ke thekedaron ke ye pasandida mozuaat hein . In se puchho agar koi shakhs tum par rahem karna chahe magar tumse dur he , isko pata hi nahin ke tumhe iski rehmat ki zarurat hai , to kya khak rahem karega , aur agar pata to hai magar aapke paas pahunch nahin sakta , pahunch bhi sakta ho magar majboor hai kuchh kar nahin sakta , ya waise hi mar ke mitti ho gaya to Tum par kaise rahem karega . Lihaza ye akeeda galat hai ke jis ka naam Muhammad ya ali ho wo kisi cheez ka malik nahin ho sakta(Takwiyatul Iman Az Ismaeel Dahelwi) .

Mehboobe Khuda ka koi ham paya nahin hai 
Is shaan ka Mursal to koi aaya nahin hai 
Be misl ne Mehboob ko be misl banaya
Waan jism nahin to yahan saya nahin hai

Comments

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Salare Sahaba Wo Pahla Khalifa Lyrics - सालारे सहाबा वो पहला खलीफा - English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

mere ghar mein saja hai aaj maula ka dastarkhwaan Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Siddiq Maula Mere Maqabat Lyrics || सिद्दीक़ मौला मेरे || Roman-English Hindi Urdu || Hafiz Tahir Qadri

Madine ke Aaqa Madine ke Sarwar Salam Lyrics / मदीने के आक़ा ! मदीने के सरवर ! सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics