Dekho aaye hue Mere Sarkar hein Lyrics || Owais Raza Qadri
Dekho aaye hue Mere Sarkar hein
Khalike Do Jahan ke Jo Shakar hein
Dekho aaye hue Mere Sarkar hein
Sham Rangin hai Sub'ha kitni haseen
Aaj Parde se bahir hein Parda-Nashin
Chand Taaron se badh kar hai roshan Zabee'n
Kya chamakte hue Unke Ruksar hein
Sham-e-Ulfat ko bujne na denge kabhi
Bazme Mid'hat ko rukne na denge kabhi
Sabz Parcham ko jhukne na denge kabhi
Unpe Jaanein lutane ko tayyar hein
Apni Galiyan Mohalle sajao sabhi
Unki Aamad ke Nagme sunao sabhi
Unki Raahon mein pakein bichhao sabhi
Marhaba Marhaba aaye Sarkar hein
Aaj Daman ko failao Aye Sahilon
Rehmatein lutlo Barkatein lutlo
Unse jo mangna hai Tumhe manglo
Fazle Maula se Sarkar Mukhtar hein
Jinke Hothon se jhadte hein Rehmat ke Phool
Bandagi ke sikhaye hein Jisne Usool
Aa gaye hein Ubede Raza Wo Rasool
Do Jahan mein Mere Jo Madad-ghar hein
Mashallah well-typed apart from a couple of mistakes.
ReplyDelete