Posts

Showing posts from February, 2017

Qabr jis dam Meri tayyar karayi jaye Lyrics

Qabr jis dam Meri tayyar karayi jaye Khak thodi si Madine ki bhi dali jaye Aabe Zamzam ho muyassar to gusal de dena Chadare Kafn bhi Tayba se mangayi jaye Itni gehri ho lahed ke mein khada ho jaun Deed jis dam Muje Aaqa ki karayi jaye Chashme Bad Qabile Deedar banane ke liye Khake-pa thodi si aankhon mein lagayi jaye Jab Janaze ki Mere leke chalein Mere Raqib Naat-e-Sarkar Muje waha bhi sunayi jaaye Hamko kaanta bhi chubhe dard unhe hota hai Aye Malak Rooh Meri dhire se nikali jaye Kya hi acchha ho ke Salman ka bharam reh jaye Chadare Kafn na Chehre se hatayi jaye Nakshe Nalayn Nabi Sar pe Mere rakh dena Yehi Surat hai ke Surat ye dikhayi jaye

Duroode Paak Lyrics By Hafiz Ahmed Raza Qadri

Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Tere sadqe se chalti hein sanse Meri Tere Nazre Karam se mili har khushi Izzaatein Rif'atein hein Tere zikr se Mein to kuchh bhi nahin Teri Rehmat ke bin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Sabse Ola wa Aala Hamara Nabi Sabse bala wa Wala Hamara Nabi Apne Maula ka pyara Hamara Nabi Donon Aalam ka Dulha Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Bazme Aakhir ka Sham'a faroza hua Noore Awwal ka jalwa Hamara Nabi Buj gayi jiske aage sabhi Mash'alein Sham'a wo lekar aaya Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Khalq se Auliya Auliya se Rusool Aur Rasoolon se Aala Hamara Nabi Qarno badli Rasoolon ki hoti rahi Chand badli ka nikla Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Muhammadin Allahumma Salle Ala Sayyidin

Maa Teri yaad aati hai lyrics

Rehti hai Teri Khushbuein Ghar ke aangam mein Teri yaad aati hai Hamse door jake Ham sabko rulake Tujko kya mila hai Teri yaad aati hai Maa Tu kaha Meri Maa Tu kaha Meri Maa Meri Maa Kab dukha hai Tere dukh jaisa Is Duniya mein Teri yaad aati hai Tera muskurana Hathon se khilana Pyar se sulana Teri yaad aati hai Maa Tu kaha Meri Maa Tu kaha Meri Maa Meri Maa Rehti hai Teri Khushbuein Ghar ke aangam mein Teri yaad aati hai Kaise Mein bhulunga bachpan ki wo yaadein Teri mithi baatein Teri yaad aati hai Maa Tu kaha Meri Maa Tu kaha Meri Maa Meri Maa Jina hai Is duniya mein Tere bin haaye Teri yaad aati hai Kanon mein gunjti thi aankhon ko chumti thi Jab loriyan Tumhari tab nind aati thi Maa Tu kaha Meri Maa Tu kaha Meri Maa Meri Maa

Dilli Rajasthan Tumhara Ya Khwaja Lyrics

Dilli Rajasthan Tumhara Ya Khwaja Sara Hindustan Tumhara Ya Khwaja Hind mein nawwe lakh ko kalema padwaya Ham par ye Ahesan Tumhara Ya Khwaja Sara Ana Sagar koze mein bhar aaya Sunte hi Farman Tumhara Ya Khwaja Faize Madina milta hai Ajmer se hi Roza hai zee-Shan Tumhara Ya Khwaja Jisne sajayi Khwaja Tumhari ye Mehfil Kardo beda par usi ka Ya Khwaja Mujko bhi Tayba ki Galiyan dikhlado Roza-e-Zee Shan Tumhara Ya Khwaja

Aaj tak koi Musafir nahin bhatka Tera Lyrics || Shahana Shaikh

Aaj tak koi Musafir nahin bhatka Tera Sidha Manzil ki taraf jata hai Rasta Tera Har Musibat Meri ek aan mein tal jati hai Raat Din padti hun jabse Mein wazifa Tera Noor se Tere Munawwar hai ye sara Aalam Har taraf Noor bikhere hai ujala Tera Mere hothon ka tarana hai fakat Salle-Ala Aur Aankhon mein bikhere hai ujala Tera Sadiya Qalbo Nazar ho gaye Mere Roshan Naam Jis waqt Mere Aaqa pukara Tera

Gham sabhi Rahato Taskeen mein dhal jate hein Lyrics

Gham sabhi Rahato Taskeen mein dhal jate hein Jab karam hota hai halat badal jate hein Unki Rehmat hai khata-posh gunahgaron ki Khote sikke bhi sare bazar bhi chal jate hein Isme Ahmed ka wazifa hai har ek gham ka ilaj Laakh khatre ho isi naam se tal jate hein Apni aagosh mein le leta hai jab unka Karam Zindagi ke sabhi andaz badal jate hein Rakh hi lete hein bharam Unke Karam ke sadqe Jab kisi baat pe diwane machal jate hein Aa pade hein Tere qadmon mein ham bhi ye sun kar Jo Tere qadmon mein gir te hein sambhal jate hein Koi dekhe to zara Unki duhaee dekar Ishq Sadiq ho to Patthar bhi pigal jate hein Aap ko Qaba-e-Maqsood hi mano Khalid Aapke dar pe sab Arman nikal jate hein Kaif-yawar hai wahi qatre jahan mein Khalid Sokhare-Naat se qatre jo uchhal jate hein

Mere Allah Tu Kareem hai Lyrics || Shahana Shaikh

Mere Allah Tu Kareem hai Mere Allah Tu Raheem hai Tere bande hein ham sab Ek nazar dekh le ab Hal be-hal hue hein Ham gunahon mein pade hein Mere Allah Tu Kareem hai Mere Allah Tu Raheem hai Tere Quran ko bhule Tere ahesan ko bhule Ilm la hasil hein ham Kehno ko kabil hein ham Khwa wo Aamal nahin ho Ham se pahelo ke the jo Phir se Tu aesa kar de Jismo jaan taaza kar de Mere Allah Tu Kareem hai Mere Allah Tu Raheem hai Wasta unka dekar Ummati unka keh kar Hein talabgare Jannat Mustafa ki ye Ummat Joh ka taqwa dedo Kaam kuchh aesa lelo Jis se Razi ho jaye Hal Mazi ho jaye Mere Allah Tu Kareem hai Mere Allah Tu Raheem hai

Duaon mein Meri Khudaya asar de Lyrics

Duaon mein Meri Khudaya asar de Meri Kawishon ka Muje Tu Samar de Karu Ahle Duniya ke gham ka madawa Mere hath mein koi aesa hunar de Bhatakta fira hun Mein manzil ki khatir Jo Fal-dar ho koi aesa shajar de Ata kar Mere Dil ko Taskeen Ya Rabb Mein kab mangta hu ke laaho-gohar de Mein Duniya ke Mahelon ka Talib nahin hu Meri ye Dua hai ke Jannat mein Ghar de Jo Maa Baap ka dard rakhta ho dil mein Khudaya Muje Aesa Noore Nazar de Khushi deke wapas na lena kabhi Tu Na ho Sham jiski Tu Aesi Saher de Muje Maalo Zar de ke magroor na kar Mere Dil mein Allah Tu Apna dar de Tamanna hai Meri ho deedar Tera Nazar aaye Mujko Tu Aesi Nazar de Duaon mein Meri Khudaya asar de Meri Kawishon ka Muje Tu Samar de

Sare Mehfil Karam itna Meri Sarkar ho jaye Lyrics

Sare Mehfil Karam itna Meri Sarkar ho jaye Nigahein Muntazir reh jaayein Aur Didar ho jaye Tasawwur mein Teri har shey pe yun nazrein jamata hun Na jane kaun si shey merin Tera Didar ho jaye Gulame Mustafa ban kar Mein bik jaun Madine mein Nabi ke Naam par soda sare bazar ho jaye Sambhal kar paaon rakhna Hajiyon ! Shehre Madina mein Kahin aesa na ho sara safar bekar ho jaye Mein gum itna to ho jaun Teri Zaate aali mein Jo aankhein band ho jayein Tera Didar ho jaye

Aye Charagare Shoq ! Koi aesi dawa de Lyrics

Aye Charagare Shoq ! Koi aesi dawa de Jo Dil se har ek gair ki chahat ko bhula de Bas dekh liya Duniya ke rishton ka tamasha Makhluk se ummit ke sab deep buja de Pakiza tamannaein bhi lati hein udasi Har zauq talab shauq tamanna hi mita de De lazzate Didar ki behoshi mein wo hosh Jo hasti ki tarifo ta'ayyun ko gawa de Ek Mein hun fakat Tu ho Aur Aalame Hu ho Aye Husne Azal sare hijabat utha de Mein khud ko bhi khud apne se fir dhundh na paaun Yun aatishe sozan se Meri rakh jala de Hun Tere hijabat ki dehliz pe kabse Ek baar zara dekhle ek parda hata de So baar bulaya Tuje So bar sataya Tu bhi to kabhi raat ko mil chhup ke nida de Khud dekh le Tu soya hai Mein jaag raha hun Tu bhi to kabhi Meri wafaon ka sila de Bas ek hi Surat hai idhar unki nazar ki Juz unke har ek yaad har ek baat bhula de Kyun hook si uthti hai Dile Zaar se Tahir Is basti-e-wiran ke khasho khashak jala de

Mere Madani jeya koi pyara ee nain Lyrics || Fozia Khadim

Mere Madani jeya koi pyara ee nain Rukhe Aaqa jeya koi nazara bhi nain Na Tu gabhrana Sharmana na san beleya Kamli wale de dar Tu Tu mang be neya Is dware jeya koi dwara ee nain Rukhe Aaqa jeya koi nazara bhi nain Jan Dozakh de andar ae Tere gada Din qayamat de e khud Khuda aakheya Teri son ette Menu gawara ee nain Rukhe Aaqa jeya koi nazara bhi nain Karbala wich ae Haq da wali boleya Sab luta ke ae Ibne Ali boleya Nana Te tun ajan kuj Mein wara ee nain Rukhe Aaqa jeya koi nazara bhi nain Karle Hakim Tu Sohne di bas naukari Tere khushbash guzregi ae zindagi Tenu ohna kithe bhi khasara ee nain Rukhe Aaqa jeya koi nazara bhi nain

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक