Allah Allah Nabi ka gharana Lyrics
Allah Allah Nabi ka gharana Ye Gharana waraul wara hai Ismein Hasanain hein Fatima hai Is Gharane mein Mushkil kusha hai Lab pe hein tazkire Panjatan ke Phool mehke hein Mere chaman ke Aesa Unke karam ne nawaaza Apni kismat pe Dil jumta hai Ummati hun mein Shahe Zaman ka Hun Bhikari mein Aaqa Hasan ka Sadke jaaun mein Unki ata par Dene waale ne sab kuchh diya hai Naam par Tere sab kuchh mila hai Naam par Tere sab kuchh fida hai Naam par Tere qurbaan jaaun Ham garibon ka Tu aasara hai Khair se Tumhi Khairul wara ho Aur Tumhi Saiyyedul Ambiya ho Koi tujsa hua hai na hoga Tere Rabb ka yahi faisala hai Mera bhi hai koi duniya waalon Be-sahara muje tum na samjo Sath mere mera peshwa hai Mera Rabb hai mera Mustafa hai Laaj rakhlo gada e karam ki Bhardo bhardo hamari bhi joli Koi ye na kahe kamli wale Teri mehfil se khali gaya hai Kafa e ishk ka hun namazi Mein hun unki inayat pe raazi Meri turbat pe likhna niyazi Panjatan ka ye adna gada hai