Bulaya Jab Shab-E-Asra Wo Soye Arsh-E-Ula


Bulaya Jab Shab-E-Asra Wo Soye Arsh-E-Ula
Ba Shauq-E-Deed-E-Mohammed Khuda Bhi Muztar Tha
Huzoor Pohche To Aaizaz Rab Ne Ye Baksha
Bitha Ke Samne Be Saqta Ye Farmaya
Tu Ke Hai Surath-O-Ausaf Main Sab Se Aala
Kardiya Hum Ne Tera Zikr Baland-O-Bala
Warafana Laka Zikrak Ya Habeebi Ya Mohammed

Soye Aflak Tera Dekhna Hum Ne Dekha
MudduA Tera Ke Kaaba Ho Tumhara Qibla
Hum Ne Kardala Ussi Aan Jo Tum Ne Chaha
Soye Aqsa The Jo Rukh Murdh Gaye Soye Kaaba
Tu Bata Teri Kisi Baat Ko Ab Tak Tala
Kardiya Hum Ne Tera Zikr Baland-O-Bala
Warafana Laka Zikrak Ya Habeebi Ya Mohammed

Mere Mehboob Meri Raah Main Uthne Wale
Sab Qazane Hain Tere Pyaar Main Lutne Wale
Hum Tere Saath The Ae Gaar Main Chupne Wale
Ruk Gaye Aake Dar-E-Gaar Pe Rukne Wale
Makdiyaan Taan Gayi Gaar Ke Dar Par Jala
Kardiya Hum Ne Tera Zikr Baland-O-Bala
Warafana Laka Zikrak Ya Habeebi Ya Mohammed

ShikMain Maahi Main Mujhe Doondh Raha Tha Koi
Aag Main Mere Liye Kood Gaya Tha Koi
Mere Qatir Sare Bazar Bika Tha Koi
Ik Tajalli Se Sare Tur Gira Tha Koi
Tum Agar Arsh Pe Aakar Mujhe Milne Wala
Kardiya Hum Ne Tera Zikr Baland-O-Bala
Warafana Laka Zikrak Ya Habeebi Ya Mohammed

Teri Shanon Pe Latakte Wo Muattar Gaisu
Rukhe Purnoor Ki Zenath Wo Tumhare Aabru
Sabko Lagti Hai Bali Tere Badan Ki Khushbu
Teri Guftar Tera Khulq Sarapa Jadu
Khub Sajta Hai Tujhe Tera Wo Kambal Kala
Kardiya Hum Ne Tera Zikr Baland-O-Bala
Warafana Laka Zikrak Ya Habeebi Ya Mohammed

Ki Tere Pyaar Main Ye Bazm Ujagar Humne
Tere Sine Ko Kiya Khoob Munnawar Humne
Kardiya Tere Liye Gaib Ko Azhar Humne
Khoob Dikhlaye Tujhe Arsh Ke Manzar Humne
Khul Gaya Tere Liye Sirre Niha Ka Tala
Kardiya Hum Ne Tera Zikr Baland-O-Bala
Warafana Laka Zikrak Ya Habeebi Ya Mohammed

Log Aate Hain Mere Hukum Se Mere Ghar Par
Khud Ba Khud Shauq Se Jate Tumhare Dar Par
Afzalul Khalq Ka Sehra Hai Tumhare Sar Par
Tera Hi Sikah Hai Har Daur Main Behrobar Par
Dabdaba Tera Bohat Martaba Tera Aala
Kardiya Hum Ne Tera Zikr Baland-O-Bala
Warafana Laka Zikrak Ya Habeebi Ya Mohammed

Tu Faqath Ek Zamane Main Nahi Hai Mehdood
Hai Mera Zikr Jahan Tu Bhi Wahen Hai Maujood
Itteba Teri Huwi Hasilo Maqsood-E-Sujood
Tujhpe Hai Khaliq-O-Maqlooq Ke Ta Hahr Durood
Aabd Ke Dil Tera Pyaar Bhi Humne Dala
Kardiya Hum Ne Tera Zikr Baland-O-Bala
Warafana Laka Zikrak Ya Habeebi Ya Mohammed

Comments

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar || Lyrics || Wo Muhammad Madine mein Maujud hai || हमने आँखों से देखा नहीं है मगर || ENG HINDI URDU

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra || Lyrics || फ़ज़्ले रब्बे पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना || मदनी सेहरा || Haifz Tahir Qadri

Wo Mera Nabi hai Lyrics || Wo Jiske liye Mehfile Konain saji hai || वो मेरा नबी है || वो जिसके लिए महफिले कोनैन सजी है || وو جسکے لئے محفل کَونَیْن سجی ہے || Lyrics

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || अल्लाहुम्म सल्ली अला सैय्यिदिना व मौलाना मुहम्मदिन || ENG HINDI URDU

Shahe Do Alam Salam Assalam || शाहे दो आलम सलाम अस्सलाम || شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام || Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Aye Khatme Rasool Makki Madani || अये खत्मे रसूल मक्की मदनी || اے ختم رسول مکّی مدنی || Lyrics || Hafiz Uzair Akhtari

ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhun Lyrics || अब तो बस एक ही धुन है के मदीना देखूं || اب تو بس ایک ہی دھن ہے کے مدینہ دکھوں || Hafiz Ahmed Raza Qadri

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Unki chokhat ho to kaasa bhi pada sajta hai Lyrics || Asad Attari || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सलीम || Danish & Dawar

Facebook Page