Mere Aqa Aao Ke Muddat Hui Hai
Mere aqa aao ke muddat hui hai
Teri rah main akhiya bichhate bichhate
Teri hasrato mai teri chahato mai
Bade din hue ghar sajate sajate
Mere aqa aao ke muddat hui hai
Mera ye hai imaa mera ye yaki hai
Mere mustafa sa na koi hasee hai
Ke rukh un ka dekha hai jabse kamar ne
Nikalta hai muh ko chhupate chhupate
Mere aqa aao ke muddat hui hai
Mere lab pe maula na koi sada hai
Fakat is nikamme ki yehi sada hai
Meri sanse nikle dar-e-mustafa pe
Gham-e-dil nabi ko sunate sunate
Mere aqa aao ke muddat hui hai
Ye dil jabse ishk-e-nabi mai pada hai
Na din ki khabar hai na shab ka pata hai
Aqa ab to basarat bhi kam ho gai hai
Tere gham mai ansu bahate bahate
Mere aqa aao ke muddat hui hai
Qayamat ka manzar bada pur khatar hai
Magar mustafa ka jo divana hoga
Vo pul se gujar jaega vajd karte
Nara nabi ka lagate lagate
Mere aqa aao ke muddat hui hai...
Ye mana ke ek din aani kaza hai
Magar dosto tumse ye ilteza hai
Shehr-e-Muhammad ki har ek gali se
Janaza uthana gumate gumate
Mere aqa aao ke muddat hui hai...
Na kabe se matlab na masjid ki chahat
Fakat dil mai hakim tamanna yahi hai
Jo mil jae Naksh-e-Kafe pa-e-Ahmad
To mar jaoo sar ko jukate jukate
Mere aqa aao ke muddat hui hai
Teri rah main akhiya bichhate bichhate
Teri hasrato mai teri chahato mai
Bade din hue ghar sajate sajate
Na kabe Seh MATLAB ??? Yeh Kaya hai
ReplyDeleteAstagfirullah
ReplyDelete