wasf-e-rukh unka kiya karte hein wasf-e-rukh unka kiya karte hein sharh-e-wash shams o duhaa karte hein unki ham madh-o-sanaa karte hein jinko mahmood kaha karte hein tu hai khursheed-e-risaalat pyaare chhup gaye teri ziya me taare ambiya aur hein sab mahpaare tujh se hi noor liya karte hein apne maula ki hai bas shaan azeem jaanwar bhi kare jinki ta'zeem sang karte hein adab se tasleem ped sajde me gira karte hein ungliya payi wo pyaari pyaari jinse dariya-e-karam hai jaari josh par aati hai jab ghamkhwaari ismei sairab hua karte hein rif'ate zikr hai tera hissa dono aalam me hai tera charcha murg-e-firdaws ba sad hamd-e-khuda teri hi madh-o-sanaa karte hein haan yahin karti hai chidiya fariyaad yahin se chaahti hai hirni daad isi dar par shutur-aan-e-na-shaad gila-e-ranj-o-ena karte...