waqt sehri ka ho gaya jaago noor har simt chha gaya jaago uttho sehri ki kar lo tayyari roza rakhna hai aaj ka jaago maah-e-ramzaan ke farz hei.n roze ek bhi tum na chhodna jaago utho-utho wuzu bhi kar lo aur tum tahajjud karo 'ada jaago chay garmaa-garam piyo uth kar khaalo halki si kuchh giza jaago hogi maqbool fazl-e-maula se khaake sehri karo duaa jaago maah-e-ramzaan ki barkatie.n looto loot lo rahmat-e-KHuda jaago sahri kha kar ke tum 'ada karlo sunnat-e-shaah-e-ambiya jaago tumko maula madina dikhlaaye aur hajj bhi karo 'ada jaago maah-e-ramzaan ke sadqe mei.n tumko de KHuda 'ishq-e-mustafa jaago sehr-o-iftaar ka madine mei.n de sharaf tumko kibriya jaago rehmato.n ki jadi barasti hai jald uth kar ke lo naha jaago tumko deedar-e-mustafa ho jaaye hai ye 'attar ki dua jaago वक़्त सहरी का हो गया जागो नूर हर सिम्त छा गया जागो उठो सहरी की करलो तैयारी रोज़ा रखना है आज का जागो माह-ए-रमज़ान फ़र्ज़ हैं रोज़े एक भी तुम न छोड़ना जागो उठो-उठो वुज़ू भी कर लो ...