“Khaak-e-Madina Hoti” ek roohani aur jazbaati kalaam hai jo Madina Munawwara ki muhabbat aur Rasool Allah ﷺ se wafadari ko bayan karta hai. Is kalaam mein ashq bhare alfaaz se Madina ki khaak, sabz gumbad aur huzoor ﷺ ke dar ki arzoo ka izhar hai. Yeh naat dil ko sukoon dene wali aur ishq-e-Rasool ﷺ se roshan hai. khaak-e-madina hoti main khaak-saar hota khaak-e-madina hoti main khaak-saar hota hoti rah-e-madina mera ghubaar hota aaqa agar karam se taiba mujhe bulaate roze par sadqe hota unpar nisaar hota mar mitke khub lagti mitti meri thikaane gar unki rah-guzar par mera mazaar hota ye aarzu hai dil ki hota wo sabz gumbad aur main gubaar ban kar us par nisaar hota taiba mein gar muyassar do gaz zameen hoti unke qareeb basta dil ko karaar hota bechain dil ko ab tak samja buja ke rakkha magar ab to is se aaqa nahin intezar hota wo bekason ke aaqa, bekas ko gar bulaate kyun sab ki thokaron par, padh kar khunwaar hota ...