mustafa ke hein wafadaar sahaba - English Naat-Khwaan: Owais Raza Qadri jaan-o-dil tere qadam par waare kya naseebein hein tere yaaron ke sahaba sahaba nabi ke sahaba hamein jaan-o-dil se hein pyare sahaba aashiq-e-sayyid-e-abraar, sahaba saare maah-e-ulfat se hein sarshaar, sahaba saare mustafa ke hein wafadaar sahaba aashiq-e-sayyid-e-abraar, sahaba saare chaar yaaraan-e-nabi afzal-e-ashaab hue maante inko hein sardar sahaba saare mustafa ke hein wafadaar sahaba aashiq-e-sayyid-e-abraar, sahaba saare unke ausaaf bayaan karta hai khud unka khuda uske darbaar mein roodaar sahaaba saare mustafa ke hein wafadaar sahaba aashiq-e-sayyid-e-abraar, sahaba saare kar liya wada-e-husna bhi khuda ne unse khuld ke kyun na hon haqdaar sahaba saare mustafa ke hein wafadaar sahaba aashiq-e-sayyid-e-abraar, sahaba saare naaw ke misl hue shaah ke sab ahl-e-bait aur anjum hue zau-baar sahaba saare mustafa ke hein wafadaar sahaba aashiq-e-sayyid-e-abraar, sahab...