husain tumko zamaana salaam kehta hai Naat-Khwaan: Hafiz Bilal Qadri tumhare sajde ko kaaba salaam kehta hai jalaale kubba-e-khazraa salaam kehta hai chaman ka har ghul-o-ghuncha salaam kehta hai husain tumko zamaana salaam kehta hai charaag-o-masjid-o-mimbar salaam kehte hain nabi rasool paighambar salaam kehte hain ali o fatima shabbar salaam kehte hain khuda gawaah hai ke naana salaam kehte hain husain tumko zamaana salaam kehta hai mere husain tujhe salaam mere husain tujhe salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain assalaam ya husain, assalaam ya husain jisne haq karbala mein ada kar diya apne naana ka waada wafa kar diya sab kuch ummat ki khaatir fida kar diya ghar ka ghar sab supurde khuda kar diya us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain assalaam ya husain, assalaam ya husain khuda ki raah ...