gham ho gaye be-shumaar aaqa gham ho gaye be-shumaar aaqa banda tere nisaar aaqa bigda jaata hai khel mera aaqa aaqa sanwaar aaqa manjhdaar pe aake naao doobi de hath ke hoon main paar aaqa tooti jaati hai peeth meri lillah ye bojh utaar aaqa halka hai agar hamara palla bhari hai tera waqaar aaqa majboor hein ham to fikr kya hai tum ko to hai ikhtiyaar aaqa main door hoon tum to ho mere paas sun lo meri pukaar aaqa mujh sa koi ghamzada na hoga tum sa nahin gham-gusaar aaqa girdab mein pad gayi hai kashti dooba dooba, utaar aaqa tum wo ke karam ko naaz tum se main wo ke badi ko aar aaqa phir munh na pade kabhi khizan ka de de aisi bahaar aaqa jiski marzi khuda na taale mera hai wo namdaar aaqa hai mulk-e-khuda pe jis ka qabza mera hai wo kaamgaar aaqa soya kiye nabikaar bande roya...