Roman(ENG): aye KHuda ! qiblaa-e-awwal ki duaae.n sun le unki ujdi hui basti ki sadaae.n sun le tu jo chaahe to bura waqt bhi Tal jaaye ga raat ki kokh se suraj bhi nikal aayega hum nahi.n kahete hume.n koi payambar de-de tere hi aage juke humko wohi sar de-de lashkar-e-feel jahaalat pe utar aaya hai aye KHuda ! fir se abaabilo.n ko kankar de-de kaun kaheta hai ke nafrat se chalegi duniya tu dikha de ke mahobbat se chalegi duniya aye KHuda ! qiblaa-e-awwal ki duaae.n sun le unki ujdi hui basti ki sadaae.n sun le tere mahboob ne jis simt kiye the sajde hukm se tere wo as'haab-e-nabi ke sajde sekdo.n gham liye seene me.n hai ghamgeen khada ab faqat tere sahaare hai phalasteen khada kaash duniya ye samaj paati ye jagda kya hai aapke ghar ye kisi aur ka qabza kya hai tu jo chaahe to har ek baat ko behtar kar de ek nazar daal de haalaat ko behtar kar de aye KHuda ! qiblaa-e-awwal ki duaae.n sun le unki ujdi hui basti ki sadaae.n sun le Naat-Khwaans : ...