tu ne deewana banaya to main deewana bana ye acchhi parda-daari hai, ye acchhi raaz-daari hai jo aae teri bazm mein deewana ho jaae tu ne deewana banaya to main deewana bana ab mujhe hosh ki duniya mein tamaasha na bana tu ne deewana banaya to main deewana bana main apni aah ke sadqe ke meri aah mein bhi teri nigaah ke andaaz paae jaate hein tu ne deewana banaya to main deewana bana ab mujhe hosh ki duniya mein tamaasha na bana yusuf-e-misr tamanna tere jalwon ke nisaar meri bedaariyon ko khwaab-e-zulaikha na bana tu ne deewana banaya to main deewana bana ab mujhe hosh ki duniya mein tamaasha na bana teri surat se nahin milti kisi ki surat hum jahaan mein teri tasweer liye firte hein zauq-e-barbadi-e-dil ko bhi na kar tu barbad dil ki ujdi hui, bigdi hui, duniya na bana tu ne deewana banaya to main deewana bana ab mujhe hosh ki duniya mein tamaasha na bana ishq mein deeda-o-dil sheesha-o-paimana bana jhoom kar baith gaye hum wahin maikhana bana tu...