pandra-so saala jashn hai rab ke habeeb ka pandra-so saala jashn hai rab ke habeeb ka har bachcha mere shaher ka, kehta hai marhaba jibreel ne kaabe par parcham lehraaya hai aamad ka zamaane ko paighaam sunaaya hai khud rabb-e-do 'aalam ne milaad manaaya hai hum log to bande hein, kyun kar na manaaeinge jande lagaaeinge, ghar ko sajaaeinge dhoomein machaeinge, aa gaye hein pyare mustafa mehfil sajaaeinge, naare lagaaeinge sabko bataaeinge, aa gaye hein pyare mustafa langar khilaaeinge, sarbat pilaaeinge nagmein sunaaeinge, aa gaye hein pyare mustafa ungli ke ishaaron se jo chand se khele hein ek pal mein zameen se jo mairaaz ko pahonche hein jibreel-e-ameen jinki taazeem ko jukte hein bee-aamina ke ghar par, tashreef wo laae hein pandra-so saala jashn hai rab ke habeeb ka har bachcha mere shaher ka, kehta hai marhaba pandra-so saala jashn-e-nabi, zindabad zindabad mehfil-e-zikr-e-naat-e-nabi, zindabad zindabad shaad ...