ya ilahi har jagah teri ata ka saath ho ya ilahi har jagah teri ata ka saath ho jab pade mushkil shah-e-mushkil kusha ka saath ho ya ilahi bhul jaun naz'a ki taklif ko shadi-e-didaare husne mustafa ka saath ho ya ilahi gor-e-tira ki jab aae sakht raat un ke pyare munh ki sub'he ja fiza ka saath ho ya ilahi jab zabaanein bahar aaein pyas se sahib-e-kausar shah-e-joodo ata ka saath ho ya ilahi garmi-e-mehshar se jab bhadke badan daman-e-mehboob ki thandi hawa ka saath ho ya ilahi nama-e-aa'mal jab khulne lagein a'yeb posh-e-khalq sattar-e-khata ka saath ho ya ilahi jab sar-e-shamsheer par chalna pade rabb-e-sallim kehne wale gham zuda ka saath ho ya ilahi jab raza khwaab-e-giraan se sar uthaae daulat-e-bedar-e-ishq-e-mustafa ka saath ho या इलाही हर जगह तेरी अता का साथ हो या इलाही हर जगह तेरी अता का साथ हो जब पड़े मुश्किल शहे-मुश्किल कु...