al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...