Posts

Showing posts from December, 2016

Khuda ki Azmatein kya hein Muhammad Mustafa jaane Lyrics

Khuda ki Azmatein kya hein Muhammad Mustafa jaane Makame Mustafa kya hai Muhammad ka Khuda jaane Sada karna thi Mere bas mein Meine to sada kardi Wo kya denge mein kya lunga Sakhi jaane gada jaane Kaha Jibreel ne Sidar talak Meri rasaee thi Hai kitni Manzilein aage Nabi jaane Khuda jaane Madine hazari ki mangte Rehne Dua Yaaron Asar hoga nahin hoga Nabi jaane dua jaane Meri matti Madine paak Ki rah mein bichha dena Kahan lejayegi isko Madine ki hawa jaane Muje to surkh-ru hona Hai Aaqa ki nigahon mein Zamane ka kya Naseer Bura jane Bhala jane

Maula Salamat rakhe Mere Huzur Tajusahriyya ko Lyrics

Maula Salamat rakhe Mere Huzur Tajusahriyya ko Maula Salamat rakhe Janashine Mufti-e-Azam ko Chehra to zara dekho Kya Shane Jalalat hai Hai Noor-e-Khuda inme ye baat haqiqat hai Chehra lage suhana Mere Azhari Miyan ka Har Sunni hai Diwana Mere Azhari Miyan ka Murshid ko zara dekho Nazdik se Tum ja kar Har Ek ada unki pabande Shariyat hai Taqwa mein misali hai Fatwa mein misali hai Dhundhe'n to kahan dhundhe'n ab koi duja Akhtar Is daure Zamana mein inka na koi sani Ye Badre Tariqat hein Ye Taaje Shariyat hein Bagdad se Madina Ajmer se Bareli Ruhani Aana jaana Mere Azhari Miyan ka Is daure Zamana mein inka na koi sani Ye Badre Tariqat hein Ye Taaje Shariyat hein Is daure zamana mein dekhe to bahot se hein Par  Taaje Shariyat ka Jachta hai Tere upar Is daure Zamana mein inka na koi sani Ye Badre Tariqat hein Ye Taaje Shariyat hein Nisbat hai kisi ko bhi is Azhari daman se Hai door wahabi ke Imaan salamat hai Wabasta hua jo bhi is Azhari daman se

Arabi Aaqa Mara Madina wada Lyrics

Arabi Aaqa Mara Madina wada Sohno Muhammad Pyara Madina wada Hath ma tasbeeh  Mare Gada ma kafani Wird karu chhu Tamara Har dukhiyani Tame laaj ne rakho Aaqa Deedar aapo ne Tamara Madina wada Banw Sagariya ma bhula re padya Tufane bhatkana Tarwana Tame tumbhada dejo Nabi Tumbhada Tarnhara Madina wada Awwal Aakhir Nabiyon na Tame Nabiyon na Sardar Dayi Halima ni aankhon na Tara Nabi Aamena Bibi na dulara Madina wada Kar jodi ne Sargam araz kare chhe Tadone dukhda Amara Ummati ni pat rakhwa wada Nabi Charnon ma rakhone Tamara Arabi Aaqa Mara Madina wada Sohno Muhammad Pyara Madina wada

Mein Miladi bacha haan Mein Milad Manawanga Lyrics

Mein Miladi bacha haan Mein Milad Manawanga Mera Ek hi Naara ..... Ya Rasul Mera Ek hi Naara ..... Ya Rasul Sallalallahu Alayhi Wa Sallam Sallalallahu Alayhi Wa Sallam Mein Miladi bacha haan Mein Milad Manawanga Allah da naan leke leke Ya Rasul da naara lawanga Mein Miladi bacha haan Mein Milad Manawanga Jal Jal ke sad jawange Munkir Mere Aaqa de Jashn manande  jawange Naukar Mere Aaqa de Gali Gali de kuche kuche Naara mein lagawanga Mein Miladi bacha haan Mein Milad Manawanga Roshan mera sina Aye Sine wich  Madina Aye Aes hamesa tar de jana Ishq da pak safina Aye Nabi de Naare laake mein Nabi di pahechan karawanga Mein Miladi bacha haan Mein Milad Manawanga Noore Khuda di Noor di paindi Duniya wich duhai Aye Nisbat Nabiyan de Sarwar di Aadam de kam Aayi Aye Kauno kuj nai de kaame Quraan di gal sunayi Aye Mein Miladi bacha haan Mein Milad Manawanga Jina Pyara Aaya Aye Ohna Jashn manaya Aye Jede Munkir Aaqa de Ohna sar bar jaana A

Dare Mustafa ka faqeer hun Lyrics

Dare Mustafa ka faqeer hun Wohi kham Jabeene Niyaz hai Hein Wohi ke Tukde naseeb mein Muje Apne bakht pe naaz hai Jo Bula Bula ke nawaz de Jo gada ko Daulate Naaz de Bajaz Unke kaun hai Dusra Ke Jo Aesa banda nawaz hai Dare Mustafa pe jo aa gira Wo sambhal gaya wo sanwar gaya Sabhi Marhalon se guzar gaya Ke Jise Teri Zaat pe naaz hai Muje Zauqe Ishqe Bilal de Wohi rang Mujpe bhi dal de Tu gani hai sadqa-e-Aa'l de Tere dar pe joli daraz hai Dare Mustafa se koi gada Kabhi na-murad nahin gaya Wohi dar hai Khalide Benawa Jo gunahgaron pe baaz hai Dare Mustafa ka faqeer hun Wohi kham Jabeene Niyaz hai Hein Wohi ke Tukde naseeb mein Muje Apne bakht pe naaz hai

Apne Roze ki jali Aaqa dikhlayenge Lyrics

Apne Roze ki jali Aaqa dikhlayenge Aaqa Madine wale Bigdi banayenge Ro Ro ke Umar guzari Apni na aayi bari Wo Din kab aayega jab Ham Tayba jayenge Kehta hai Dil ye Mera Tayba hoga dera Mujko yaqeen hai Mohsin Aaqa bulwayenge

Dhadkano Tum hi kaho waqt wo kaisa hoga Lyrics

Dhadkano Tum hi kaho waqt wo kaisa hoga Samne Aapke jab Gumbade Khazra hoga Aye Ajal Tujko bhi us waqt thaherna hoga Jab Mere honthon pe zikre Shahe Bat'ha hoga Jaaye Dozakh ki taraf Sarwar-e-Alam ka Gulam Kaise ye Joshe Mashiyyat ko gawara hoga Aa idhar rooh ki har teh mein samo lu Tujko Aye Hawa Tune to Sarkar ko dekha hoga Aa idhar rooh ki har teh mein samo lu Tujko Aye Jabal Tune to Sarkar ko dekha hoga Lakh Tum umar ibadat mein guzaro lekin Wo jise chahenge Sajda wohi Sajda hoga Unka paikar hun Muje Khauf nahin Mehshar mein Mere Sarkar ka Daman Mera parda hoga

Durood lab par Khayal dil mein Lyrics

Durood lab par Khayal dil mein Aur Ashq Aankhon mein aa rahe hein Huzur ke dar pe ja rahe hein To is karine se ja rahe hein Rasoole Akram Zameene Rabb par Kisi Tarha gham nibha rahe hein Jahane tarik mein lahu se Charage ulfat jala rahe hein Charag Tera hai Noor Tera Badan bhi Tera Lahu bhi Tera Ye Sab Teri Milkiyat hai Aaqa Ke Ham to karza chuka rahe hein Ham apni nafsaniyat ke chakar Tumhara haq kya ada karenge Bas ek Tumhara karam hai Aaqa Ke jis pe takiya laga rahe hein Mein dair se aa sakunga aaqa Gunah ki gathriyan lagi hein Ba Teri Rehmat ke aasre par Qadam qadam badte ja rahe hein Janabe Aadam bhi keh rahe hein Madad kisi aur dar se mango Kaleemo Isa bhi Mere Aaqa Tumhare janib hi aa rahe hein Baroze Mehshar Tumhara Mujrim Tumhare daman mein aake chhupta Magar wahan Auliya jama hein Jo shor sun sun ke aa rahe hein Mein sakht mayus ho chuka tha Ke Gause Azam pukar uthe Mere Aaqa Mere Muridon ko Jaane kab se bula rahe hein Hamara gham

Ya Nabi Salam Alayk Ya Rasool Salam Alayk Lyrics

Rabbe Sallim Ala Rasulallah Marhaba Marhaba Rasulallah Ya Nabi Salam Alayk Ya Rasool Salam Alayk Ya Habib Salam Alayk Salawatulla Alayk Rehmaton ke Taaj wale Do jahan ke Raaj wale Arsh ki Me'raj wale Aasiyon ki laaj wale Ya Nabi Salam Alayk Ya Rasool Salam Alayk Ya Habib Salam Alayk Salawatulla Alayk Hai Tamanna ye Khuda se kahin Aesa howe Hind se fir soo-e-Madina Mera jana howe Roza-e-paak ke chogird firun mein aesa Jaise parwana sare sham'a pe firta howe Hun mein Mushtaqe ziyarat ye tamanna hai Shaha Puri Allah Meri ab ye tamanna howe Ya Rasulallah Ya Rasulallah Ya Rasulallah Ya Rasulallah Ranjo gham khaye gue hein Door se aaye hue hein Tum pe itraye hue hein Hath failaye hue hein Ya Nabi Salam Alayk Ya Rasool Salam Alayk Ya Habib Salam Alayk Salawatulla Alayk Paye sajda aasman juk gaya Koi dekhe Shane Muhammadi Jahan khatm had hai uruj ki Gaye us se aage Mere Nabi Balagal ulabe kamalihi Kashafa-ddujabe Jamalihi Hasanat jami-e-Khisalihi Sall

Us Arab ke wali ki Kya shan nirali hai Lyrics

Us Arab ke wali ki Kya shan nirali hai Ek mein hi nahin sheyda Duniya bhi diwani hai Behta Meri aankhon se har waqt jo pani hai Wo Saqi-e-Kausar ki ek khas nishani hai Aye baage saba le aa kuchh khak Madine ki Surme ki tarha hame aankhon mein lagani hai Is dard bhare dil ki chhoti si kahani hai Jo Roza-e-Aqdas par khud jake sunani hai

Aye Hasanain ke Nana by Milad Raza Lyrics

Ya Nabi Nazre Karam Farmana Aye Hasanain ke Nana Zahra pak ke sadqe hamko Tayba mein bulwana Aye Hasanain ke Nana Aap ke dar ka hun mein bhikari Aap hein Mere Data Sare rishte naaton se hai pyara Apna nata Aapto hein aata hai jinko sabki laj nibhana Aye Hasanain ke Nana Aye Hasanain ke Nana Be saya hein lekin do jag par hai Aapka saya Arshe Mu'alla bana Mohalla deed ko Rabb ne bulaya Hashr talak na hoga kisi ka Aesa Aana Jana Aye Hasanain ke Nana Aye Hasanain ke Nana Saj gayi hai Milad ki Mehfil kya hai khub nazara Kaifo Masti mein duba hai dekho Aalam sara Dhundh rahi hai Aapki Rehmat bakhshish ka bahana Aye Hasanain ke Nana Aye Hasanain ke Nana Nisbat ka faizan hai dekho khadime Gause jalee hun Karta hai Mujpe naaz zamana Mein Ausafe Ali hun Aapki aal ke dar ka sag hun Saeel hun purana Aye Hasanain ke Nana Aye Hasanain ke Nana

Madine ke jalwe Madine ki raatein Lyrics

Madina dikha jaldi jaldi Khudaya Madina dikha jaldi jaldi Khudaya Madine ke jalwe Madine ki raatein Hamein Aye Khudaya dikha jaldi jaldi Tadapte hein din raat jo hazri ko Unhe bhi Khudaya bula jaldi jaldi Wo Roze ka manzar Wo Mehrabo Mimbar Wo Jannat ki Kyari badi Pyari Pyari Jahan par lagin Mere Aaqa ki taliyan Wo galiyan hamein bhi guma jaldi jaldi Jinhe sun ke karte hein Iftaro Sahri Sabhi Mahe Ramzan mein usshaqe Nabwi Jinhe Sunke hota hai ek kaif tari Hamein wo Azanein suna jaldi jaldi Hai jis se Mahobbat Mere Mustafa ko Jo chahta hai khud bhi Habibe Khuda ko Jahan par Makeen mere Hamza piya hein Ohad ki wo wadi dikha jaldi jaldi Suna hai Madina karam hi karam hai Faqiron ka maskan Nabi ka Haram hai Sub'ho Sham jis dar pe aayein Farishte Wo Darbar hamko dikha jaldi jaldi Jahan par hai Roza-e-Khatune Jannat Jahan par hai Hjra-e-Madare Ummat Jahan par hein Siddiqo Farooqo Usman Wo Jannat ka tukda dikha jaldi jaldi Mere dil ki dhadkan hai ha

Mera Madani Sohna Aa gaya Lyrics

Sohna Aaya te saj gayene Galiyan bazar Sohna Aaya te saj gayene Galiyan bazar Mera Madani Sohna Aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Aake Sare Jag te chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Jidde Aaiyan Sariyan Ronakan ne Jidde naal baharan mehakiyan ne Karman da badal chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Har than khushbuan hulle ne Rehmat de buhe khulle ne Purnoor ujala aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Har pase jashn manayen ne Jado sohne Madani aaye ne Eho Misra dil te chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Puri ho gayi dukhiyan di dua Mere dil wich ho gayi hor ziya Meri sawan da wadas aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Sohne diya jad-diyan lagiyan ne Ziya Teriyan Moja lagiyan ne Hun Tera wi wad pa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya

Karam ka chand utra hai Janabe Aamena ke ghar Lyrics

Aamena ke ghar chand utra hai wo dekho Aamena ke ghar chand utra hai wo dekho Karam ka chand utra hai Janabe Aamena ke ghar Khuda ka noor faila hai Janabe Aamena ke ghar Wo rehbar hai Rasoolon ka wo hai sartaj Nabiyon ka Khuda ne jisko bheja hai Janabe Aamena ke ghar Charage Shab jalane ki zarurat hi nahin padti Muhammad jab se aaya hai Janabe Aamena ke ghar Shabe Jashne Wiladat hai wo Jibraeel ko dekho Mubarak dene betha hai Janabe Aamena ke ghar Ye kiski roshni jati hai neele aasmanon tak Diya ye kaisa jalta hai Janabe Aamena ke ghar Sawere sath lekar kaun aya hai ye Farooqi Ke Shab ko bhi ujala hai Janabe Aamena ke ghar

Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Lyrics

Mustafa Ya Mustafa ..... Mustafa Ya Mustafa Mustafa Ya Mustafa ..... Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Marhaba sad Marhaba Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Badshah-e-Do Jahan Tumsa koi hai kahan Assalam Aye Jaane Jaan... Khub badla hai zamana Mustafa kya aa gaye Har jagah Aamad ka charcha Mustafa kya aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Kharch karta hi rahunga Mehfil-e-Milad par Joli mein hai unka sadqa Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha De rahe hein Ambiya Sare Mubarak-badiyan Isa ta Aadam ka naara Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Kya bigadengi mera Tufan ki tugyaniyan Mein nahin hun besahara Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Mein Gulame Mustafa hun marte marte bolunga Aakhari ye hoga kalema Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Aaj bhi sab hein Ujagar Mustafa ke saaye mein Tan gaya hai Shamiyana Mu

Mangenge Mange jaayenge Munh mangi payenge Lyrics

Mangenge Mange jaayenge Munh mangi payenge Sarkar mein na 'La' hai na hajat 'Agar' ki hai Uff be-hayaiyan ke ye munh aur tere Huzur Haan Tu Kareem hai teri khoo darguzar ki hai Tuj se chhupaun munh to karun kis ke samne Kya aur bhi kisi se tawakko nazar ki hai Kaabe ka naam tak na liya Tayba hi kaha Puchha tha Mujse jisne ke NOHDAT kidhar ki hai Uske tufail Hajj bhi Khuda ne kara diye Asale Murad hazari us paak dar ki hai Sarkar Ham ganwaron mein Tarze Adab kahan Hamko to bas tameez yahi bhik bhar ki hai Itna ajab bulandi-e-Jannat pe kis liye Dekha nahi'n ke bhik ye kis unche ghar ki hai Mangata ka hath uthte hi data ki dayn thi Doori qubulo araz mein bas hath bhar ki hai Sharbat na dein ,na dein , to kare baat lutf se Ye shahed ho to fir kise parwah shakar ki hai

Aap ke kadmon mein aana mera kaam tha Lyrics

Aap ke kadmon mein aana mera kaam tha Meri bigdi banana Aapka kaam hai Meri aankhon ko hai Deed ki aarazu Rukh se parda uthana Aapka kaam hai Sakiya Jaan qurban Aapke naam par Ho Nigahe Karam Apne khuddam par Chhod di ham ne kashti Aapke naam par Ab kinare lagana Aapka kaam hai Mere Dil pe fakat Aapka Raaj hai Zehan Aankhein Tasawwur ka mohtaj hai Ek Nigahe Karam hi Meri laaj hai Laaj Meri nibhana Aapka kaam hai Puri Sarkar sab ki Tamanna karein Har Sawali ki Aaqa jholi bhare Door Tayba se rote tadapte hein jo Unko dar pe bulana Aapka kaam hai Aapne katre ko dekha gohar kar diya Aapne zarre ko dekha to zarr kar diya Ek habshi ko rashke kama kar diya Unka suraj firana Aapka kaam hai Aapki chokhat kahan aur kahan ye Zabee Aapke judo karam ki to had nahin Jisko Duniya mein na koi Apna kare Usko Apna banana Aapka kaam hai

Nigah-e-Lutf ke Ummidwar ham bhi hein Lyrics

Nigah-e-Lutf ke Ummidwar ham bhi hein Diye hue Dil-e-Be karar ham bhi hein Hamare daste Tamanna ki laaj bhi rakhna Tere Faqeeron mein Aye Shehre Yaar ham bhi hein Tumhari ek Nigah-e-Karam mein sab kuchh hai Pade hue to sare rah-guzar ham bhi hein Jo sar pe rakhne ko mil jaaye Naal-e-Paake Huzur To Fir kahenge ke haa'n Taaj-daar ham bhi hein Ye kis Shahensha-e-Bala ka Sadqa bant'ta hai Khusrawon mein padi hai pukar ham bhi hein Hasan hai jinki Sakhawat ki dhoom aalam mein Unhin ke Tum bhi ho ek reza-khar ham bhi hein

Madina wo Gulzar hai Lyrics

Jahan lut'ti lut khud hai bahar Madina wo Gulzar hai Utarti hai Hooro Malak ki katar Madina wo Gulzar hai Wo Jannat ki Kyari badi pyari pyari Wo Gumbad-e-Khazra Sunehri wo jaali Wo Masjid-e-Nabwi Wo Mehrabo Mimbar Jahan Gunjati hai Azan-e-Bilali Jise dekhne ko hein sab be-karar Madina wo Gulzar hai Agar jaa rahe ho Madine ki janib Aye Apne Muqaddar pe itrane walon Haram ki zameen aur qadam rakhke chalna Are Sar ka Mauka hai oh jaane walon Ye kehta Bareli ka hai Taaj daar Madina wo Gulzar hai Abu Bakr ki hai Sadaqat wahin se Hai Roshan Umar ki Adalat wahin se Hai Usman ki maheki Sakhawat wahin se Ali se Shuja'at ki Shohrat wahin se Chamakte hein har dam jahan Chaar Yaar Madina wo Gulzar hai Jo ban kar kar aaye har Aalam ki Rehmat Hai Imaan ki jaan Unki Mohabbat Wo Qasim-e-Ne'amat wo Malik-e-Jannat Jo Ham aasiyon ki karenge shafa'at Hein rehte hamare jahan Ghamgusar Madina wo Gulzar hai Wo Makke mein aaye to tarikh Barah(12) Madine m

Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Lyrics

Image
Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Aaqa jeya sohna koi bhi nahin Aaqa jeya sohna koi bhi nahin Aamena de ghar aawan wala sab toh sohna aye Aabh farash nu lawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Zikr Huzur da ral mil kerna ayen Ibadat aye Git Huzur de gawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Maula Ali ne firda Suraj wekh ke farmaya Suraj modh liyawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Paak Nabi de naam te otto wich Madine de Sara maal lutawan wala sab roh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Manzil utte bud'di Maayi pohanchke boli see Mera bhar uthawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Ayenj te lakkha Sohne ne par Nasir Duniya te Rahmat ban ke aawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadri

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ