Ham fakiron ko madine ki gali achhi lagi Lyrics
Khusrawi achhi lagi na sarwari achhi lagi Ham fakiron ko madine ki gali achhi lagi Door the toh zindagi be rang thi be kaif thi Unke kunche mein gaye to zindagi achhi lagi Mein na jaunga kahin bhi dar nabi ka chhod kar Mujko koo e mustafa ki chakari achhi lagi Naaz kar tu ae Haleema sarware konain par Gar lagi achhi to teri jonpadi achhi lagi Rakh diya sarkar ke kadmon pe sultanon ne sar Sarware kauno makaan ki sadagi achhi lagi Mahero maah ki roshani mana ke achhi hai magar Sabz gumbad ki muje to roshani achhi lagi Aaj mahefil mein Niyazi naat jo meine padi Aashikane Mustafa ko wo badi achhi lagi