Ya Rasulallah Madine mein hame bulwaiye Lyrics || Hafiz Tahir Qadri


Mere Aaqa Tayba Wale
Mere Aaqa Tayba Wale

Ya Rasulallah Madine mein hame bulwaiye
Ek nazar sue gariban Mustafa farmaiye

Ya Rasulallah Madine mein hame bulwaiye

Rehmatulil Alamin ho jaye Rehmat ki nazar
Hai andheri Meri Duniya suna suna Mera ghar

Apne jalwon se munawwar ghar Mera kar jaiye
Ya Rasulallah Madine mein hame bulwaiye

Gumbade khazra ki Mein bhi dekh lun hariyaliyan
Chumlu Aankhon se Mein Aaqa Sunahri Jaaliyan

Aesa qismat ka Sitaara Mustafa chamkaiye
Ya Rasulallah Madine mein hame bulwaiye

Kab Madine mein Meri Sarkar hogi haazri
Aap jo chahein to ho jaye Meri khoti khari

Saiyyeda ke waaste ab to karam farmaiye
Ya Rasulallah Madine mein hame bulwaiye

Mustafa Ya Mujtaba Ya Rehmatullil Aalamin
Aye shafi e Roze Mehshar Aye shafi e Muznabin

Izan Ehsan ko Madine ka ata farmaiye
Izan Tahir ko Madine ka ata farmaiye

Ya Rasulallah Madine mein hame bulwaiye

Comments

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

अल-मदद पीरान-ए-पीर या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर / المدد پیران پیر، یا غوثُ الاعْظَم دستگیر / Al Madad Peerane Peer gaus-e-aa'zam dastageer Lyrics

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics

Madine Qafile Jate hai Main bhi Aaunga / मदीने काफिले जाते हैं में भी आऊंगा / مدینے قافلے جاتے ہیں میں بھی آؤں گا