Dil ye deta hai sada ab toh Madina dekhu
Dil ye deta hai sada ab toh Madina dekhu
Ankhe roti hai Shaha Gumbad e Khazra dekhu
Sare tasleem kiya karta hai khamm jis pe falak
Naaz karti hai zameen jis pe who Taiba dekhu
Khana e Kaaba jhuka karta hai rauze ki taraf
Hai jaha Kaaba who Madna dekhu
Dekho rehmat ka who meezab ishara samjho
Hai nigaho me jo uski who Madina dekhu
Masjid e nnabavi ki Mehraab o Minaar o gumbad
Jaaliya unki sunehri mai hamesha dekhu
Mere sarkar ke qadmo ko hai chuma jisne
Baag e Janna ki who Kyaari mai Khudaya dekhu
Hai kaha aisa ziya aur kahi duniya me
Us Dar e Paak ke zarro ka chamakna dekhu
Unke darbaar me faila ke mai daaman apna
Mere sarkar ki khairaat ka batna dekhu
Mere maula ho tasawwur ko who parwaaz ata
Jab karu band mai ankhe toh Madina dekhu
Meri aankho me who quwwat mere maula de de
Hind me rehke bbhi sarkar ka Taiba dekhu
Noor e Amhed ki ziya se hai yeh aalam raushan
Noor se unke mai dil ka chamakna dekhu
Meri kismat me woh Ramzan bhi maula likh de
Ho sheher Makke me iftar ko taiba dekhu
Haazri teri bhi ho jayegi ek roz Khaleel
Laut kar phir se kahega ke Madina dekhu
Comments
Post a Comment