Posts

Showing posts from August, 2021

Mere Husain Tujhe Salaam Lyrics / मेरे हुसैन तुझे सलाम / میرے حسین تجھے سلام

mere husain tujhe salaam, mere husain tujhe salaam Naat-Khwan: Owais Raza Qadri mere husain tujhe salaam, mere husain tujhe salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain, assalaam ya husain jinko dhoke se kufa bulaaya gaya jinko baithe bithaaye sataaya gaya jinke bachon ko bhooka rulaaya gaya zeher bhai ko jiske pilaaya gaya us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam mere husain tujhe salaam, mere husain tujhe salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain, assalaam ya husain kar chuka wo habib apni hujjat tamaam leke allah aur apne naana ka naam kufiyon ko sunaaya khuda ka qalaam aur fida ho gaya shaah-e-khairul anaam us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam mere husain tujhe salaam, mere husain tujhe salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain, assalaam ya husain pade jo karke soo-e-shaah-e-anam salaam sadaa ye aapki har simt salaam salaam bade husain jo tayba s...

Ali Haidar ka Gharana Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Ali Maula Ali Muala Mankuntu Maula Ali Ali  Aqa ne bola Ali Ali Mein jis ka maula Ali Ali Hai us ka Maula Ali Ali Zahra ka shohar Ali Ali  Hasanain ka baba Ali Ali Ham sab ne pukara Ali Ali Ali Maula...... Bada maheboob gharana Ali Haidar ka gharana Gulam inka hai zamana Kiya sab kaam usi ki Riza mein raazi reh kar Khuda ke deen ki khatir Hazaron sadmein seh kar Kare har dam shukrana Ali Haidar ka gharana Bada maheboob gharana Ali Haidar ka gharana Kayadat hoke imamat Wilayat hoke taharat Sharafat hoke sadakat Sakhawat hoke shuja'at Har ek azmat ka thikana Ali Haidar ka gharana Bada maheboob gharana Ali Haidar ka gharana Pukara jab mushkil mein Unhone ki lajpali Sabhi mangaton ki pal mein Bhari hai jholi khali Jhuka jis dar pe zamana Ali Haidar ka gharana Bada maheboob gharana Ali Haidar ka gharana Mankuntu Maula Ali Ali Aqa ne bola Ali Ali Mein jis ka maula Ali Ali Hai us ka Maula Ali Ali Zahra ka shohar Ali Ali Hasanain ka baba Al...

Allah Muje Hafize Quraan bana de || अल्लाह मुझे हाफिज़ क़ुरान बना दे Lyrics Roman & Hindi

Roman (English) Allah Muje Hafize Quraan bana de Quraan ke ahekam pe bhi Mujko chala de Ho jaaya kare yaad sabaq jald Ilahi Maula Tu Mera Hafiza majboot bana de Susti ho Meri door uthoon jald savere Tu Madarase mein Dil Mera Allah laga de Ho Madarase ka Mujse na nuksan kabhi bhi Allah ! yahan ke Muje aadab sikha de Chhutti na karun bhul ke bhi Madarase ki mein Auqat ka bhi Mujko Tu paband bana de Ustad ho mojud ya bahir kahin masroof Aadat Tu Meri shor machane ki mita de Khaslat ho Meri door shararat ki Ilahi Sanjida bana de Muje Sanjida bana de Ustad ki karta rahun hardam Mein itaa'at Maa baap ki izzat ki bhi taufiq Khuda de Kapde mein rakhun saaf Tu Dil ko Mere kar saaf Maula Tu Madina Mere seene ko bana de Filmon se diramon se de nafrat Tu Ilahi Bas shoq Muje Naato Tilavat ka Khuda de Mein saath Jama'at ke padu saari Namazain Allah ! Ibadat mein Mere Dil ko laga de Padta rahun kasrat se Durood Un pe sada mein Aur zikr ka bhi shoq pae Gauso Ra...

Mera Maula Maula Hussain hai Mankabat Lyrics

Image
Muftiyane Daar se kehti hai Karbala Bid'at Usi ka zikr jo jeena silkha gaya Tum se to ek babari masjid na bach saki Mera Hussain sari shriyat bacha gaya Mera Maula Maula Hussain hai Jo hua Nawaasa e Mustafa Wo Ali ka beta Hussain hai Jo Yazeediyat ko Fanaah kare Chale Karbala Wo Hussain hai Bibi Fatima ka Wo ladla Mera Badshah Wo Hussain hai Mera Maula Maula Hussain hai Kya Sunaun Wakiya Karbala Haaye Teer neza kahan laga Jise chumate rahe Mustafa Wo Hussaini Sar tha kata hua Sara ghar ka ghar bhi luta diya Wo jo kar gaya Wo hussain hai Mera Maula Maula Hussain hai Yahi Bole Hazrate Hoor Shaha Ya Hussain Aapka Shukriya Ke Yazeediyon se nikal kar Jo Hussainiyon mein bitha diya Muje Manzilon ka pata diya Mera Rehnuma Wo Hussain hai Mera Maula Maula Hussain hai Wo bhi bada kitna ajib hai Jo kahe Yazeed bhi thik hai Ya Hussaini ban Ya Yazeedi ban Ese juth mein sharik hai Kyun do kashtiyon ka sawaar hai Jo hai haq-numa Wo Hussain hai Mera Maula M...

Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Lyrics || Muhammad Hassan Raza Qadri

English Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Ya Rahmatallil Aalameen Ya Rahmatallil Aalameen Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Wo Sar Chashma-e-Noore Fat'he Mubeen hai Wohi Mash'ale Raahe Azmo Yaqeen hai Usi se Hamare Dilon mein Ujaala Usi se hai Islam ka bol baala Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Ya Rahmatallil Aalameen Ya Rahmatallil Aalameen Usi ke Ye Ham par hein Ahesaan saare Kadam Manzeelein chumti hein Hamare Usi ne Andheron se Hamko nikaala Usi se hai Islam ka bol baala Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Ya Rahmatallil Aalameen Ya Rahmatallil Aalameen Saharaa diya Uske Naqshe Qadam ne Usi ki Tawajjoh Usi ke Karam ne Zamaane ke girte huon ko sambhala Usi se hai Islam ka bol baala Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab paane wala Usi se hai Islam ka bol baala Ya Rahmatallil Aalameen Ya Rahmatallil Aalameen Usi ki Mahobbat hai Imaane Kaamil Us...

Hara Gumbad jo dekhoge Zamana bhul jaoge Lyrics || हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे

Roman (ENG) : Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge Na Itraao Ziyada Chand Taaron Apni Rangat par Mere Aaqa ko dekhoge Chamakna bhool jaaoge Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge Hadeese Mustafa par Tum Jo ho jaao Amal-paira Kasam Rab ki kabhi Maa ko sataana bhool jaaoge Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge Agar Tum gaur se Mere Nabi ki Naat sun loge Mera Daawa hai Tum Gaana Bajaana bhul jaaoge Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge Tumhare Saamne hoga kabhi jab Gumbade Khazraa Nazar Jam jaaegi Us par hatanaa bhul jaaoge Haraa Gumbad jo dekhoge Zamaana bhul jaaoge Agar Tayba ko jaaoge to aana bhul jaaoge हिंदी(HINDI)  हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे अगर तयबा को जाओगे तो आना भूल जाओगे न इतराओ ज़ियादा चाँद तारों अपनी रंगत पर मेरे आक़ा को देखोगे चमकना भूल जाओगे हरा गुम्बद जो देखोगे ज़माना भूल जाओगे...

Jitna diya Sarkar ne Mujko Naat Lyrics Roman & Hindi

Roman (English) Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni Meri aukat nahin Ye to karam hai Unka warna Mujmein to Aesi baat nahin Ishqe shahe batha se pehle Mufliso khasta haal tha Mein jee Naame Muhammd ke Mein qurbaan Ab wo Mere halat nahin Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni meri aukat nahin Ye to karam hai Unka warna Mujmein to Aesi baat nahin Tu bhi aa Is dar pe yahan to Sab ki bigdi banti hai yaha Ik Teri Taqdeer banana Unke liye kuchh baat nahi Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni meri aukat nahin Ye to karam hai Unka warna Mujmein to Aesi baat nahin Yaade nabi mein Din jo guzre Wo Din sabse behtar hein jee Yaade nabi mein Raat jo bite Us se behtar Raat nahin Jitna diya Sarkar ne Mujko Utni meri aukat nahin Ye to karam hai Unka warna Mujmein to Aesi baat nahin हिंदी जितना दिया सरकार ने मुझको उतनी मेरी औकात नहीं ये तो करम है उनका वरना मुझमें तो ऐसी बात नहीं इश्क़े शहे बत्हा से पहले मुफ़लिसों खस्ता हाल था में जी नाम मुहम्मद के में क़ुर्बान अब वो मेरे हालात नहीं...

Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabar Na Ho Lyrics Eng & Hindi

English Pul Se Utaaro Rah Guzar ko Khabar na ho Jibreel Par Bichhaein to Par ko Khabar na ho Kaanta Mere Jigar Se Game-Rozgaar ka Yun Khinch lijiye ke Jigar Ko Khabar na ho Fariyaad Ummati Jo karein Haale Zaar mein Mumkin nahin ke Khaire Bashar ko Khabar na ho Kehti thi Buraq se Uski Sabak Rawi Yun Jaeeye ke Gharde Safar ko Khabar na ho Esa Guma de Unki wilaa mein Khuda Hamein Dhundha kare Par Apni Khabar ko Khabar na ho Aye Khaare Taybaa ! Dekh ke Daaman na Bhig Jaae Yun Dil mein aa ke Deeda-e-Tar ko Khabar na ho Aye Shoqe Dil ! Ye Sajda Jo Unko Rawa nahin Achha Wo Sajda kijiye ke Sar ko Khabar na ho Un ke Siwa RAZA koi Hamee nahin jahan Guzra kare Pisar pe Padar ko Khabar na ho हिंदी पुल से उतारो रह गुज़र को खबर न हो जिब्रील पर बिछाएँ तो पर को खबर न हो काँटा मेरे जिगर से गमे रोज़गार का यूँ खींच लीजिये के जिगर को खबर न हो फ़रियाद उम्मती जो करें हाले जार में मुमकिन नहीं के खैरे बशर को खबर न हो कहती थी बुरक से उसकी सबक़ रवि यूँ जाइये के घरदे सफर को खबर न हो ऐसा गुमा दे...

Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Lyrics || Qawwali || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Image
Roman(Eng) : Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Quraan hai Mukammal Chehra Mere Nabi ka Utra nahin Zameen par Saaya Mere Nabi ka Allah ka hai Jalwa Jalwa Mere Nabi ka Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Allah ki kasam Wo Taqdeer ke Dhani hein Jo log dekh aaye Roza Mere Nabi ka Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Sarkaare Do Jahaan ka Ye khaas Mojaza hai Kankar bhi pad rahe hein Kalma Mere Nabi ka Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Ho jayein lakh paida Islaam ke mukhaalif Chalta rahe ga yun hi Sikka Mere Nabi ka Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Kami karo na Salaamo Salaat mein Wo khubiyaan hein Sarware Aalam ki zaat mein Quraan utra Pyare Nabi ki Sifaat mein Haq ne na banaya Aapsa Jab kaaynat mein Sari Khudaaee de di Muhammad ke haath mein Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ka Muhammad Mustafa Allah ka farmaan laye hein Gunaahgaron ki bakhshish ke liye Quraan Laye hein Nabiyon mein Sabse Afzal Rutba Mere Nabi ...

Kis liye fikr kare hashr ke din kya hoga Lyrics

Kis liye fikr kare hashr ke din kya hoga Samne unke jo hoga bahot achha hoga Unke hote hue zulmat ka tasawwur kesa Kabr mein meri ujala hi ujala hoga Samne unke jo hoga bahot achha hoga Jazba e kisht bata wakt wo kaisa hoga Samne jab mere sarkar ka roza hoga Nafsi Nafsi ke siwa jab na sunai dega Rabb e Habli ki sada koi lagata hoga Samne unke jo hoga bahot achha hoga Rab ne chaha to kayamat mein sabhi dekhenge Unke kadmon mein pada Akhtar hasta hoga

Jab zulm ke badal chhane lage Muhammad aa gaye Lyrics

Jab zulm ke baadal chhane lage Gulshan mein Gul Gumlane lage Insaan jab Apni bacchi ko Hai jeete jee dafnaane lage Har simt Jafa wo Zulm ka Jab Hai garm hua bazar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye Ye Jabr ke shole ab Abre Ikhlas se Sab buj jayenge Sab kaliyan lori gayenge Gulshan ke gul muskayenge Har simt ujale bikhrenge Sab zulmo sitam mit jayenge Jab Aamena Bi ki godi mein Sarkar Madina aayenge Sab jum jum ke masti mein Ye bolega Sansaar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye Adam ki lagshish ko Rabb ne Jis ke Sadqe mein bakhsh diya Machhli ke pet se Yunus ko Jis ke Sadqe Aazad kiya Isa ne jiski Ummat mein Aane ka logon azan kiya Aur Ibrahim ne khwahish ki To Rabb ne Unhe ye Muzda diya Wo dekho Abdullah ke Ghar Sab Nabiyon ke Sardaar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye But khane saare kamp uthe Kaabe ke Sanam tharrane lage Ab kufr ki zulmat khatm hui Duniya se andhere jaane lage Tauhid ki kirne foot padee Har simt ujale chhane lage Jab Aamena bi ke...

Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Lyrics || Maulana Bilal Raza Qadri

Assalam Ya Husain Assalam Ya Husain Karbala ke Jaan-Nisaaron ko Salam Fatima Zahraa ke Pyaaron ko Salam Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Abbase Naamdaar hein Zakhmon se choor choor Us Paykare Riza ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Akbar se No-Jawaan bhi rann mein hue Shaheed Ham-Shakle Mustafa ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Bhai Bhatije Bhanje Sab ho gae Shaheed Har Laale Be-Bahaa ko Hamara Salam ho Asghar ki Nanhi Jaan pe Lakhon Salam ho Mazloomo Be-Khata ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Ho kar Shaheed Qaum ki Kashti Tira gaye Ummat ke Na-khuda ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Nasir Wila-e-Shah mein kehta hai baar baar Mehmaane Karbala ko Hamara Salam ho

Paani band kar diya Baaba Lyrics || Huda Sisters

Bibi Zaynab ne kaha Baaba se Karbobalaa mein Paani band kar diya Baaba Paani band kar diya Baaba Mehmaan-Nawaazi ke koi kyaa Hote hein Aadaab Ye Baaba Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba Das Moharram ki Shab Lambi ho jaati Sooraj so jaata Use Aesi neend aati Jaagta na Sooraj to Sub'ha na hoti Karbalaa mein Shaame Gareeban na hoti Sub'ha se mil kar gale Baaba Roti hai Raat bhi Baaba Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba Paani band kar diya Baaba Paani band kar diya Baaba Mehmaan-Nawaazi ke koi kyaa Hote hein Aadaab Ye Baaba Roti hai Sakeena Jhule ko chumti hai Saare Ghar mein Nanhe Asghar ko dhundhti hai Is Qadar Sakeena Paani bachaati hai Aankhon mein aaye to Usko chhupati hai Abr bhi barsa nahin Baaba Roti hai Barsaat bhi Baaba Padh ke Daastane Karbalaa Roti hai Kayenaat bhi Baaba Daswi ka Din na nikaltaa Roti hai Raat bhi Baaba Paani band kar diy...

Hamare hein Husain Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Husain Ya Husain  Husain Ya Husain  Husain Ya Husain  Husain Ya Husain Dil se Pukaaro Husain Dil se Pukaaro Husain Insaan ko bedaar to ho lene do Har qaum pukargi Hamare hein Husain Hamare hein Husain... Hamare hein Husain... Duniya mein gunjta hai Taranaa Husain ka Insaaniyat ko kaafi hai Khutbaa Husain ka Shabbir Tere Kaandho pe Deene Rasool hai Islaam ko hai Ab bhi Sahaara Husain ka Hamare hein Husain... Hamare hein Husain... Hamare hein Husain... Hamare hein Husain... Talwaar hai Husain ki Lalkaar hai Husain ki Sarkar ka Amaama hai Sar par Husain ke Aur Hamzaa ki Sipar hai Badan par Husain ke Haathon mein lekar aa gaya Shabbir Zulfiqaar Ye Sher hai Ali ka Palat kar karega waar Ye Faatema ke Laal ka Parcham hai Al-Amaan Allah re ! Jalaal ka Aalam hai Al-Amaan Kis Kaher ka hai Saamna Chamki hai Zulfiqaar Do Neem karne soorma chamki hai Zulfiqaar Khaa Khaa gayi safon ki safein Aaj Zulfiqaar Kiski Majaal hai ke kare Samne se Waar Dekho Yazeediyon zaraa Shabbir ka mizaaj T...

Mein hun Husaini bachpan se Lyrics || Tahir Qadri

Image
Dam Dam Husain Maula Husain Mein Husaini hun Mein Husaini hun Sab Husaini Husain Husain karein Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Aaj Yazeedi tola Tu Isko Jannati manta hai Sab Dollar ka chakkar hai Halanki Haq janta hai Ye sab kamai ke dhandhe hein Sab Dollar ka chakkar hai Aaj Yazeedi tola Tu Isko Jannati manta hai Sab Dollar ka chakkar hai Halanki Haq jante hein Sare Ayimma ka Fatwa Yazeed Kafiro Fasik hai Fatwa dikhaun kin kin se Mein hun Husaini bachpan se Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Nazre Karam jo Hurr pe hui Unki Kismat jag uthi Shah ne jab kuchh farmaya Dil ki kaya palat gayi Hurr ye sab ko batate hein Jannat Aese pate hein Sada lagayi ye Rann se Mein hun Husaini bachpan se Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Sab Husain...

Dilon ka Badshah Maula Husain hai Lyrics || Allama Mudassir Ul Qadri

Image
Maula Husain Maula Husain Ya Husain Ya Husain Ya Husain Ya Husain Dilon ka Badshah Husain Dilon ka Badshah Husain Dilon ka Badshah...  Maula Husain hai Har Ek Zubaan par raha Husain hi ka Naam hai Zabeene Waqt par likha Husain hi ka Naam hai Dilon ka Badshah Husain Dilon ka Badshah Husain Dilon ka Badshah...  Maula Husain hai Nazar Nazar mein bas gaya Dilon ka Badshah Husain Har Ek Qaum ne liya Husain hi ka Naam hai Maula Husain hai Maula Husain hai Husain bas Husain hai Husain bas Husain hai Ye Gulshane Rasool ka Husain Ek Fhool hai Baap hai Abu Turaab Aur Maa Batool hai Husain ba-jabeen hai Husain Dil-nasheen hai Husain Aaj zinda hai Ye Maut ko yaqeen hai Jawab do Muje zara Ye Aap se Sawaal hai Ke Kaum Aaj kis liye zaleelo khasta haal hai Jo khoon se choor choor hai Ghamon se bhi nidhaal hai Jawab Mujko mil gaya Jo Aaj Dil se mit chala Husain ka Khayaal hai  Isi liye to Kaum par zawaal hi zawaal hai Azaab hi Azaab hai Husain Paak baaz hai Khuda ko Ispe naaz hai Mahobbat...

Shehzadi e Rasool Jannat ki hai Malika Lyrics

Ya Saiyyada ............... Ya Zahra............ Shehzadi e Rasool Jannat ki hai Malika Hasanain ki hai Maa wo Fatima Zahra Nabi ke ghar mai jo rehmat hai Fatima Zahra Khuda ki khas inayat hai Fatima Zahra Nabi aal hamara azim virsa hai Ye la zaval virasat hai Fatima Zahra Tumhare naam jo utri hai Ayat e Tathir Ye Be misal karamat hai Fatima Zahra Tumhare baalon ko dekha na chand suraj ne Haya ki chadar e izzat hai Fatima Zahra Zamana kehta hai jisko Hasan Husain ki Maa Rasool e paak ki itrat hai Fatima Zahra Nabi ke jism ka tukda hai zauja e haidar Ali ke paas amanat hai Fatima Zahra Riza v sabr ki malika nabi ki shehzadi Ibadaton ki hakikat hai Fatima Zahra Lahu Husain ka ab bhi gavahi deta hai Tumhare khun mai jur'at hai Fatima Zahra Dar e Batool UJAGAR kabhi na chhode ga Tumhare dar se hi izzat hai Fatima Zahra

Qurbaan Umar pe Mein Lyrics || Hafiz Ahmed Raza Qadri

Image
Ya Umar Ya Umar Ya Umar Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein Lab pe As'hab pe Ek Taraana saja Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Shehre Makka Wo Takbeer se gunj utha Aaj laane ko Islaam aaya Umar Umar Meri Jaan Jaan Jaan  Umar Meri Jaan Jaan Jaan  Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein Intikhabe Khuda Wo Duaa-e-Nabi Wo Musheere Abu-Bakro Jaane Ghani Dilbare Ahle Bayto Damaade Ali Wo Khalifaa-e-Saani Hamara Jigar Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar Qurbaan Umar pe Mein , Doon Jaan Umar pe Mein Imaani takazaa hai Karun Ishq Umar se Mein Saadgi Adlo Sach Jiski Pehchaan tha Jiski Haan raa se utra Ye Quraan tha Dekh kar bhagtaa Jisko Shaytaan tha Baabe Ijzo Wafa Ilmo Hikmat ka Dar Islam ki Shaan Umar , Sarkar ki Jaan Umar Islam ko faylaya Iski Pehchaan Umar Qurbaan U...

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ